hum kisi ko nahi, sab humein chord dete hain

be-mausam aane wale panchi,
jaane kab apna rukh mord lete hain,
chehak dikha ker, dil dhardka ker,
sapne jaga dete hain.

par kaha yeh rukte hain,
aaj yaha aur kal waha!
udaan dusre ke dil mein kar,
naa jaane kyu yeh dil tord jate hain.

jo honth keh nahi paate,
aanshu keh dete hain,
be-reham sanam dhire dhire,
hamari jaan lete hain.

chaahat hoti hai bewafa jab bhi,
bas nazron ke dhoke,
dil tord dete hain.

hum kisi ko nahi,
sab humein chord dete hain,
waqt aane par dil se,
apna muh mord lete hain.

yuh to rishta dil ka hota hai dil se,
armaan bhare dil ko pal mein tord dete hain,

be-mausam jo apna rukh mord lete hain,
humein bhari mehfil mein tannha chord dete hain.

maza to hai naa milne aane wale intezaar mein,
unhein andaaza nahi,
naa puri hone wali tassalli deke,
humara dil tord dete hain.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts