saath na koi humdam na kisi ki duayein hain

pathar ke shehar mein dil bhi pathar ke paye hain,
murda yahan har shaksh hai, saans lete saaye hain,

sadkon ke jaal mein uljha hua har aadmi hai,
dhuyein ke gubaar mein dum tordti hawayein hain,

roti ki chakki mein zindgiyaan pisti dekhi hain,
mehngayi ke shikanje mein bebas tamannayein hain,

behisaab aabadiyon ka har taraf huzum hai,
saath na koi humdam, na kisi ki duayein hain,

door tak bikhre roshniyon ke kaarwan hain,
apne naseeb mein wahi andheri gufayein hain.


No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts