tu hi bata ki tera aitbaar kaise karein

tu hi bata ki tera aitbaar kaise karein,
bharam hi toot gaya ab pyaar kaise karein,

gumnami mein kho rahi hai yeh zindagi apni,
rasta badal ke isse hum bahar kaise karein,

jab us ki baat per humko yakeen na raha,
ab aur usse khayaal-e-karaar kaise karein,

wafa pyaar to ab woh nahi raha,
ab us bewafa ka intezaar hum kaise karein.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts