har nazar hairaan hai
aur arzoo roone ko hai,
gum mein kho gayi zindagi
aur aasmaan ronne ko hai.
charon taraf hai roshni ki bahar
magar mera aashian simata hua,
aag mein jal chuka aks mera aur
dhuan rafta rafta khone ko hai.
na bardao hath dosti ka
ki kismat meri hai kharab,
jisko chaha usse paya nahi
har sathi raaj khone ko hai.
jo kar sako to itna karam kardo
dil mein jo dard hai dawa ban jaye,
jazbaton ka tofan ab na rukega
shubha se raat ab hone ko hai.
ruksat karo mujhe iss jahan se
ke ab aur seh saku himmat nahi,
gir kar tutega yeh zehar ka paiyala
nasha isska ab mujhe hone ko hai.
woh royegi meri yaad mein,
tardpegi ek din meri mohabbat ko,
buund buund pighalega pathar dil uska,
intezar kijiye yeh haddsa bhi hone ko hai.
aur arzoo roone ko hai,
gum mein kho gayi zindagi
aur aasmaan ronne ko hai.
charon taraf hai roshni ki bahar
magar mera aashian simata hua,
aag mein jal chuka aks mera aur
dhuan rafta rafta khone ko hai.
na bardao hath dosti ka
ki kismat meri hai kharab,
jisko chaha usse paya nahi
har sathi raaj khone ko hai.
jo kar sako to itna karam kardo
dil mein jo dard hai dawa ban jaye,
jazbaton ka tofan ab na rukega
shubha se raat ab hone ko hai.
ruksat karo mujhe iss jahan se
ke ab aur seh saku himmat nahi,
gir kar tutega yeh zehar ka paiyala
nasha isska ab mujhe hone ko hai.
woh royegi meri yaad mein,
tardpegi ek din meri mohabbat ko,
buund buund pighalega pathar dil uska,
intezar kijiye yeh haddsa bhi hone ko hai.
No comments:
Post a Comment