naa jaane woh din kab aayega

naa hote yeh mandir maszid,
naa hota koi hindu muslim,

rehte sabhi mil jul kar,
kaash hum sab ka ek hi emaan hota,

kya mila hai hum sab ko,
ek duje ka khoon bahane par,

sooni huyi meri maa ki godhi bhi,
teri maa ki godhi bhi ujaadi hai,

shok hai mere ghar mein bhi,
tere ghar mein bhi maatam chhaya hai,

kya yeh sab karne k liye hi tu,
iss dharti pe aaya hai,

likha hai kis geeta mein,
kis kuran mein yeh aaya hai,

khoon baha kar apno ka,
kisne sawarg aur zannat ko paaya hai,

naa jaane woh waqt kis din aayega,
naa hoga koi hindu muslim,

har aur khushyaali ka mosam chayega,
dhund rahi hai meri aankhein
naa jaane woh din kab aayega…….

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts