na jee saku, na mar saku, haal kuch aisa hai

dil tord kar puchte hain ki haal kaisa hai?
main bola.. aye dilbar yeh sawaal kaisa hai?

yeh aashu, yeh bebasi, bigade halaat,
yeh dard, yeh chubhan, machalte jazbaat,

yeh tardap, yeh ghum hai tere saugaat,
aur tum puchte ho ki haal kaisa hai?

adhure hain hum, ab jeene ki chah nahi,
gumarah hai kahi, manzil aur rah nahi,

rote hi rahate hain, hassne ki chaah nahi,
aur tum puchte ho ki haal kaisa hai?

tere kadmon mein hum ne bichaya tha dil,
jise tord diya tune, na samjha kaabil,

zinda laash ban kar rah gaye, kahe kise kaatil,
aur tum puchte ho ki haal kaisa hai?

jism the hum, jinhe samjha tha saya,
kal tak the apne, aaj ho gaye paraya,

phir bhi labon pe naam tera hi aaya,
aur tum puchte ho ki haal kaisa hai?

ek din socha kahe tumse haal-e-dil,
sunaye dil ki dastan, hum bhari mehfil,

bata de jaha ko ki tum ho kaatil?
phir tum na puchoge ki haal kaisa hai.

dard de tu humein, hum dua denge tumko,
socha mita de bebasi, khatam kare ghumko,

ki laakh minnaten par aayi na maut humko,
uff yeh maut bhi bewafa tere jaisa hai,

ab kabhi na puchna ki haal kaesa hai?
na jee saku, na mar saku, haal kuch aisa hai!!

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts