pyaar karna aasaan hai pyaar pana nahi

pyaar karna aasaan hai pyaar pana nahi,
naadan mere dil tune yeh jana nahi,

duniya hi banati hai sab rashme riwazo ko,
tune abhi duniya ki nazron ko pehchana nahi,

yuh to sab mil jaata hai bin maange hi,
jo dil ki ho aarzu, waisa deewana nahi,

pal mein bichardne pardta hai,
jaise pal mein mile the,
pyaar to pyaar hai, bhul jaaye kaise,
yeh dil mera itna bhi beymaan nahi.

pyaar karna asan hai shayad par isse pana nahi,
naadan dil mera itna yeh aaj tak jaana nahi.


No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts