zakham ke bina dard ka ehsaas bhi na hota

aasman na hota to chaand bhi na hota,
zakham ke bina dard ka ehsaas bhi na hota,

jaha rahega wohi roshni lutaayega,
kisi chiraag ka kabhi apna makaan nahi hota,

yeh kis mukaam pe le aayi hai tannhai,
ki ab dard bhi iss dil se bayaan nahi hota,

mere aanshu keh gaye haa-e-dil iss mehfil mein,
varna khawaish jaan de deta,
aur labon par koi gila bhi nahi hota.

main unhein bhool gaya hoon,
yeh kaun maanega iss duniya mein,
har ek ko manana raaj,
insaan ke bas mein bhi to nahi hota.

koi dard bhari aankhon se dekhle humein,
main woh an kahi baat hoon
jo honton par aate -aate dam tord chuki hai,
aur bin awaaz ke kisi ko
dard ka ehsaas nahi hota.

raaj ki pehchaan koi na samaj paaega iss jahaan mein,
main woh lafz hoon jo kabhi dastaan nahi hota.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts