har baar hosla karte hain ,
phir khud hi tut jaate hain,
iss dil ko khud hi samjha kar ,
iss dil se haar jaate hain.
phir se ret ko muthi mein pakard kar
phisalta paate hain,
ankhoon mein samandar ko samette samette ,
chalakta paate hain,
har baar kuch chaah kar ,
woh khud hi kar jaate hain,
intezar karwate karwate ,
khud hi intezar karta paate hain,
naa jaane kyun iss dil ko ,
samjha hi nahi paate hain,
apne aap khud ko mana hi nahi pate hain,
woh kya samjhenge jazbaat jinhe ‘ehsaas’ hi nahi,
naa jane kyun har baar kuch aise hi dost bana jate hain.

No comments:
Post a Comment