unko hi apna haal-e-dil sunaate hain

aankhon mein panapte hain khwaab,
phir bhi woh aankhon ko rulaate hain,

khawaabon ke aagosh mein kayi rang hain,
dil mein woh ummidein jagaate hain.

zulf-e-yaar ke hum yun khoye,
aankhon mein kayi sapne sajaate hain.

dil-e-dastaan kuch aisi hai hamari,
tasalliyon se dil ko manaate hain.

aisi chaahat ko hum kya kahein,
sache aashiq khud ko azmaate hain.

lakh dukh ho chaahe is safar mein,
apne aanshuon ko unse chhupate hain.

maharam-e-dil hai woh meri dil mein,
unko hi apna haal-e-dil sunaate hain.


No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts