kabhi kabhi

yaad tujhko ab bhi meri aati to hogi kabhi kabhi,
woh hawa ehsaas mera laati to hogi kabhi kabhi,

muskurati hogi tu bhi kabhi yaad kar woh lamhein,
aur yehi yaad palkon ko bhigaati to hogi kabh kabhi,

din hota tha sang mere, raat mein bhi sang main tha,
aankh teri ab bhi sapne mere sajaati to hogi kabhi kabhi,

aankhon hi aankhon mein kar lee kitni thi humne baatein,
doori in aankhon ki tujhko bhi sataati to hogi kabhi kabhi,

saansein meri mehakti hain tere pyaar ki khushboo se aaj bhi,
yaad meri ehsaas dil mein khaas jagaati to hogi kabhi kabhi.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts