dard lekar chain gawaya humne

kyu kiya ishq humne,
dard lekar chain gawaya humne,

aankhon mein 
kyu hai nami,
dillagi mein kami aayi hai,

ishq ko humne tarasha hai,
badale mein 
kyu ruswai paayi hai,

tu agar mujhse pyar kerti thi,
to kyu meri zindagi mein tanhai hai,

tu meri hai ki nahi.
fizao mein yeh khabar chayi hai,

yeh dil jo tha apna
kyu naam lekar tera aaj bhi dhadhakta hai,

diwaana bana kar mujhe,
teri aashqi kyu aaj bhi satati  hai,

maut ne jab saath chord diya,
zindagi ne maara hai,

hum akele nahi,
tanhayi ka sahara hai,

aaj manzar ko mere
sirf tera hi aasra hai,

marte hai hum jinpe
haale dil na unko pata hai,

rehte hain unko dil mein,
sapno mein bhi unka hi saya hai,

iss zindagi mein tumne
pyaar humein sikhaya hai,

maana maine na kabhi,
khul ke ishar kiya hai,

main deewana hun tera,
sirf teri chahat hi chaha hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts