abhi lamba hai raasta

tanha mera safar hai, aur lamba hai raasta,
door hai manzil meri, bahot door hai raasta.

chand ki chandni hai,  suraj ki raoshni hai,
par rahein meri andheri, aur lamba hai raasta.

yeh wadiyon ka aanchal, ye jheel aur samandar,
main kaise thehar jaoon, lamba hai raasta,

nazarein bhi keh rahein hain,  raahein bhi keh rahi hain,
teri kismat bahut buri hai, abhi lamba hai raasta,

alam ye kaisa hai... nahi theharta tu ek pal bhi "raaj",
maana ki tujhme himmat bahut hai, magar lamba hai raasta


No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts