kya uss sakhs ko sach mein tujhse pyaar tha?

aaj bhi mera dil mujhse yeh puchta hai,
kya uss sakhs ko sach mein tujhse pyaar tha?

kahi yeh deewanapan to nahi,
aisa to nahi ke tu bhram ka shikaar tha?

kashtiyan tufaano se bhi guzar jaati hai,
par jo kashti beech safar mein gum huyi thi,
aisa to nahi ke tu ussi kashti pe sawaar tha?

yeh baat bhi sach hai ki,
usne kabhi chaahat se inkaar na kiya,
par inkaar na kiya to kya hua?
kya uske taraf se kabhi ikraar tha??

nazro ke teer ka khel kabhi hum samaj na paaye,
kuch alfaazo ke liye yeh dil hamesha bekaraar tha.

khud se kabhi sawaal karta,
khud ko phir jawaab deta,
sachhai to yeh hai ki,
in sawaal-jawaabo se khwaish berkarar tha.

aaj bhi uss mord ko takte hain,
jis raah pe bichrde the kabhi,

sochta hoon...
kabhi door uss raah se woh nazar aaye,
aur kahe haan mujhe bhi tujhse pyaar tha.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts