mera pyaar tum na samajh sake

tum pyaar ke kabil ho nahi, 
magar pyaar tumhein karte hain.
tum yaad ke kabil ho nahi, 
magar yaad tumhein karte hain.

mera dard tum na samajh sake,
mera pyaar tum na samajh sake.
duniya kahe tum bewafa ho, 
magar hum ye nahi kahte hain.

mera dil kyon thukra diya, 
yeh to bata jaa pyaar mera.
tu ho jahan, sada khush raho, 
bas yahi dua hum karte hain.

tum chali gayi mujhe chord ke, 
kyon iss anjaani rah par.
mil jaaye tumhein koi hamsafar, 
magar hum to yun hi akele chalte hain.

milte hain hazaaro log yahan, 
tum chali gayi ho phir kahan.
tum yaad na karna ab humein, 
yeh yaad mein dard  bahut hote hain.

tum hassti ho mujhe dekh ker, 
jara sa bhi mera khayal nahi.
yaad karogi tum ek din magar, 
tera raaj bhi tak mara nahi..

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts