ek pal jeekar phir marne chale aaye

bechain dil ko behlana tha,
inn aankhon ko sukun dilana tha,
teri ek jhalak paane chale aaye,
teri galiyon mein ek pal jeene chale aaye.

andhere mein deep jalana hai,
ruthi kismat ko phir se manana hai,
ye daman tere daar pe failane chale aaye,
teri galiyon mein ek pal jeene chale aaye.

mousam badal raha hai,
asman aur aankhein dono baras rahi hai,
apne hi aashko mein bhigne chale aaye,
teri galiyon mein ek pal jeene chale aaye.

lab khamosh hai dil ki dhadkan tez hai,
dosto ab woh aane ko hai shayed,
sari duriya aur shikwe mitane chale aaye,
teri galiyon mein ek pal jeene chale aaye.

har ek chehare mein woh hi nazar aane lagi,
har raste mein uski aahat mehsus hone lagi,
hum apne intezar ki imteha dekhne chale aaye,
teri galiyon me ek pal jeene chale aye.

woh aayegi aur muskurayegi,
mujhe gale se lagakar, pyaar apna jatayegi,
yeh jhuta bharam lekar chale aaye,
teri galiyon mein ek pal jeene chale aaye.

woh aakar mooh pher kar chali gayi,
nazre churakar, dil jalakar chali gayi,
uske badalte dil ko dekhne chale aaye,
ek pal jeekar phir marne chale aaye,

jaisa socha tha waisa kuch na huwa,
aaj phir teri galiyon mein dil mayus huwa,
adhuri tannha zindagi mein laut kar chale aaye,

apni hi galiyon mein pal-pal marne chale aaye
apni hi galiyon mein pal-pal marne chale aaye.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts