yet.. life goes on

So hard to say it
unable to type Goodbye
made my fingers paralyzed.

Not to make it hard on you,
Not to make you suffer like I do.
I smiled with tears in my eyes.

Sent you a flower
to stay with you never die.
I walked away thinking
we are still friends.

But this feeling didn’t seem right
Something did really hurt..
deep.. so deep inside.

Tears dropped so hard
not from my eyes
Tears looked so red
from my heart I realized.

Try to forget my pains. Go!
Fly away.. never look back

Keep flying don’t stop..
you found your way..

How can I fly?
You were my wings

How can I cry?
My tears dried up
when you took away with you my feelings..
Yet.. Life goes on..

shayed kabhi sakoon ki neend humko bhi aayegi

dekhta hoon jo lehron ko to aksar yeh sochta hoon,
aate jaate lehron mein jeevan ko dhoondhta hoon,

chandni mein leharein yun damak jata hai,
jaise mohabbat jawani pe parwaan chadata hai,

koi yaad lehar chord jaati hai aanshoon ki,
tasveer tair jaati hai beete huye lamhon ki,

kabhi khile the, lab muskuraye mere bhi the,
aankhon mein humne bhi rang mahal banaye the,

jaise lahrein laut jaati hai sahil se apne lipat ke,
humne bhi chahat ka silsila nibhaya hai unke liye dua karke,

jaane aur kaha tak ab ye hamari deewangi humko le jayegi,
sochta hoon yeh kabhi kisi raat,
shayed sakoon ki neend humko bhi aayegi.


kyu mohabbat mein dil ka yeh aalam ho jata hai

kisi ki yaad se dil dhadak jata hai,
lakh samjhaye aankhon ko par ashk chalak jata hai,

kabhi pass hoke bhi bahut door ho jata hai,
koi duriyon se bhi dil ko chu jata hai,

kuch kahne ko yeh labz jurd nahi paate,
to kabhi aankhon se dil ka dard byaan ho jata hai,

kyu mohabbat mein dil ka yeh aalam ho jata hai,
har chehare mein yaar ka chehra nazar aata hai,

kyu har kadam pe kasautti ka padav nazar aata hai,
dil yeh bahut bebus, bahut udaas nazar aata hai,

jo basta hai is dil ki dhadkano mein,
kyu dil ussi se roz mil nahi paata hai,

aye khuda kyu mohabbat mein yeh mukaam aajata hai,
naam tera lene se pehle naam yaar ka labon pe aa jata hai.

a place without pain

I need a sanctuary all my own,
a place where I can be alone,

alone with my thoughts,
alone with my dreams,
alone with my sanity,
alone with my screams 

a place I can run to when I am afraid,
a place to rest at the end of the day,

a place without problems,
a place without pain,
a place without rain,

a place where I can unwind and rest my mind,
and let all my worries fade away.

where is my life going?

My life is a bad dream,
Sometimes it gets so hard I want to scream!

I am in disguise, 
so no one will recognize what I really feel inside.

This pain is too much…
I can’t shake it,
I can’t take it anymore.

These feelings eat me up inside,
they are just too hard to hide.

This is my alibi…
tears stream down my face,

I lose sight of God’s grace.
I am falling into a dark pit, with no light in it.

My world is closing in with evil thoughts of sin.
My heart is shattered, torn, and tattered…

The people I see who think they know me have no idea what lies beneath.
They see a girl with good grades and a smiling face,
not knowing what’s really the case.

I am so insecure and unsure about myself, 
where is my life going?

Will this roller coaster end?
It gets harder with each turn and bend along the way.

I have thoughts of suicide,
but if I die, what then?
What happens in the end?

I take the dice and roll it twice.
Now my hands are as cold as ice.

I try to stand, but fall down and crawl.
I’m getting weak.
These wounds are just too deep.

The blood is thick and red as wine,
The morphine can’t ease the pain.

I look down at my clothes as they begin to stain,
and at the needles piercing my veins.

The monitor says I have a flat line, 
but this can’t be me, I am not dying!

I see the light, 
now I must fight with all my might,
I must survive and stay alive!

I hear a voice that soothes my soul, 
now I start to gain control.

The flat line breaks and starts to climb as
I grab hold of this hand reaching for mine.

The darkness fades and turns to grey,
The sun comes out and saves the day,
now I know I will be okay.

Now I thank god for making it through the night,
as I begin to see the light.

Life is tough and the road I walk is rough,
but now I know that I will make it through,
as long as I have you my lord.

Dare to be different

Dare to be different,
to stand out among a crowd.

Don’t be afraid to let your voice be heard!
Scream it out loud!

When others try to tear you down,
share the love that you have found.

Stand up for what you know is right,
Don’t back down when you need to fight.

Love with your heart and not with your head,
Don’t let those three little words go left unsaid.

Be a shoulder to lean on,
but not a doormat to be walked on!

Enjoy what you have for as long as it lasts…
embrace your future and forget your past.

I make mistakes too…

Who am I to judge you?
Or the things you do?
Because if you think my life is perfect,
you haven’t got a clue…

I sin just like everybody else…
I make mistakes too…
so who am I to point a finger at you?

Who am I to cast another stone at you?
Amongst all the others that have been thrown…

I don’t know your future
or all of your past…
but I know this…
only love will last!

So who am I to turn you away?
To say that you are just not good
enough to hang out with me! ?

The choices we make everyday…
the words we choose to say…
The people we let in and those we turn away…
affect our lives in so many ways!

Love covers a multitude of sin…
and it’s so true, because if god didn’t forgive
me for the stupid things I do,
I don’t know what I would do!

So live in the present and forgive your past!
Don’t let those things you regret hold you back,
because this life is too short to worry about that.

I wish..

I wish you could see yourself the way you really are.
I wish you could look beyond your scars.
I wish you could find the light at the end of the tunnel.
I wish you could feel the love that’s all around you.
I wish you could break free from the chains that hold you captive.
I wish you could taste the sweet things in life.
I wish you could touch the stars and see that they really aren’t that far…
I wish you could be who you are meant to be,
Instead of hiding away from everybody

ek pal jeekar phir marne chale aaye

bechain dil ko behlana tha,
inn aankhon ko sukun dilana tha,
teri ek jhalak paane chale aaye,
teri galiyon mein ek pal jeene chale aaye.

andhere mein deep jalana hai,
ruthi kismat ko phir se manana hai,
ye daman tere daar pe failane chale aaye,
teri galiyon mein ek pal jeene chale aaye.

mousam badal raha hai,
asman aur aankhein dono baras rahi hai,
apne hi aashko mein bhigne chale aaye,
teri galiyon mein ek pal jeene chale aaye.

lab khamosh hai dil ki dhadkan tez hai,
dosto ab woh aane ko hai shayed,
sari duriya aur shikwe mitane chale aaye,
teri galiyon mein ek pal jeene chale aaye.

har ek chehare mein woh hi nazar aane lagi,
har raste mein uski aahat mehsus hone lagi,
hum apne intezar ki imteha dekhne chale aaye,
teri galiyon me ek pal jeene chale aye.

woh aayegi aur muskurayegi,
mujhe gale se lagakar, pyaar apna jatayegi,
yeh jhuta bharam lekar chale aaye,
teri galiyon mein ek pal jeene chale aaye.

woh aakar mooh pher kar chali gayi,
nazre churakar, dil jalakar chali gayi,
uske badalte dil ko dekhne chale aaye,
ek pal jeekar phir marne chale aaye,

jaisa socha tha waisa kuch na huwa,
aaj phir teri galiyon mein dil mayus huwa,
adhuri tannha zindagi mein laut kar chale aaye,

apni hi galiyon mein pal-pal marne chale aaye
apni hi galiyon mein pal-pal marne chale aaye.

I am dazed

you are my heart my soul,
I can still feel the beat of my heart.

how does it gone knowing that
the beat cannot reach you!

I am dazed..
you are in my words, my poems,
expressing the emotions that rest deep inside.

how do the words flow from my heart knowing that
your heart cannot feel the emotions!
I am dazed..!

because I still love you

after all we have been through
the tears still fall the same way
and I am still in love with you
like I have been since that first day.

no matter how bad  I am hurting
I still have your smile in my mind
but I still cry myself to sleep
and think about you all the time.

it’s so hard to forget you
when you were my first true love
and every time I think of you
you get harder to let go off.

I wouldn’t be hurting this bad
if I haven’t loved you so much
I wouldn’t cry all the time
if I hadn’t of been so crushed.

I still wake up in the morning
with a smile on my face
but then I remember your not with me
and that smile I quickly erase.

It will take some time to forget you
but I know in my heart I will.
for now I will cry myself to sleep
because I love you still.

kuch yaad hain humein kuch bhul gaya bhi

kaanton ki chubhan pe phulon ka mazaa bhi,
dil dard ke mausam mein roya bhi hassa bhi,

aane ka sabab yaad na jaane ki khabar hai,
woh dil mein rahi aur isse tord gayi bhi,

har ek se manzil ka pata puch rahi hai,
gumraah mere saath huyi, rahnumaa bhi,

gumnaam kabhi apanon se jo gam huye haasil,
kuch yaad hain humein, kuch bhul gaya bhi.

kabhi kabhi

yaad tujhko ab bhi meri aati to hogi kabhi kabhi,
woh hawa ehsaas mera laati to hogi kabhi kabhi,

muskurati hogi tu bhi kabhi yaad kar woh lamhein,
aur yehi yaad palkon ko bhigaati to hogi kabh kabhi,

din hota tha sang mere, raat mein bhi sang main tha,
aankh teri ab bhi sapne mere sajaati to hogi kabhi kabhi,

aankhon hi aankhon mein kar lee kitni thi humne baatein,
doori in aankhon ki tujhko bhi sataati to hogi kabhi kabhi,

saansein meri mehakti hain tere pyaar ki khushboo se aaj bhi,
yaad meri ehsaas dil mein khaas jagaati to hogi kabhi kabhi.

zindagi tu bhi ajeeb hai

zindagi tu bhi ajeeb hai,
kabhi hassaye humein kabhi rulati hai,
kabhi lagti hai tu bahut door,
kabhi lagti tu kareeb hai!

kabhi khwabo ki duniya lagti hai,
kabhi lagti tu parchai si,
kabhi lagti to bemaani si,
kabhi lagti tujh mein geharai si!

kabhi humko tu satati hai,
kabhi aankhon mein ashk bhi laati hai,
kabhi khushiyo se daman bhar jati hai,
kabhi dard se humein milwati hai!

tu dard to humko deti hai,
pyar karna bhi sikhlati hai,
jab maut k pas chord jati,
teri kami humein satati hai!

kabhi lagti tu ek dhoka hai,
kabhi lagti tu naseeb hai,
koi samajh na paya ab tak,
zindagi tu bhi ajeeb hai!


zindagi aye zindagi

jeete rahne ki sazaa de,
zindagi aye zindagi,
ab to marane ki duaa de,
zindagi aye zindagi,

main to ab ubb gaya hun,
kya yahi hai kaayanaat?
bas ye aainaa hataa de,
zindagi aye zindagi,

dhundane nikala tha tujh ko,
or khud ko kho diya,
tu hi ab mera pata de,
zindagi aye zindagi,

mujhe ehasaas ki iss kaid se kar de rihaa,
warnaa diwaana banaa de,
zindagi aye zindagi.

aisa bhi ho sakata hai

khamoshi khud apani sada ho aisa bhi ho sakata hai,
sannata hi gunj raha ho, aisa bhi ho sakata hai,

mera majhi mujh se bichad kar kya jaane kis haal mein hai,
meri tarah wo bhi tannha ho, aisa bhi ho sakata hai,

sahara sahara kab tak main dhundhun ulfat ka aye aalam,
aalam aalam ek sahara ho, aisa bhi ho sakata hai,

zindagi tufaan soch rahe hain saahil dub jaata hai,
khud unka dil dub raha ho, aisa bhi ho sakataa hai.

haadsa ek aur naya huwa

bardi muddat ke baad zakhm mera bharne hi laga tha,
riss raha lahoo bas thamne hi laga tha,

ki dekhiye haadsa ek aur naya huwa,
zindagi ne mujhko naye mord pe laa diya,

dawa-e-marz diya usne jise bhool na paaya,
keh kar dawa usne hamein zehar pila diya,

bardi muddat ke baad zakhm mera bharne hi laga tha,
riss raha lahoo bas thamne hi laga tha,

kudrat ko ye sitam shayad gawaara na huwa,
baad daffn mere haadsa ek aur naya huwa,

jis bewafa ko chaha hamne tamam umr
woh bewafa mere dil mein ab dafn huwa.

abhi lamba hai raasta

tanha mera safar hai, aur lamba hai raasta,
door hai manzil meri, bahot door hai raasta.

chand ki chandni hai,  suraj ki raoshni hai,
par rahein meri andheri, aur lamba hai raasta.

yeh wadiyon ka aanchal, ye jheel aur samandar,
main kaise thehar jaoon, lamba hai raasta,

nazarein bhi keh rahein hain,  raahein bhi keh rahi hain,
teri kismat bahut buri hai, abhi lamba hai raasta,

alam ye kaisa hai... nahi theharta tu ek pal bhi "raaj",
maana ki tujhme himmat bahut hai, magar lamba hai raasta


tera dard mujhse wafa kar raha hai

teri judaai ka har ek lamha,
meri zindaagi ki dua kar raha hai,
ye hota nahi hai juda mere dil se,
tera dard mujhse wafa ker raha hai.

dekh liya ye sara zamana saajni,
tere jaisi koi mujhe yaar naa mili,
karta hun yaad jab teri baaton ko,
ek pal need naa aaye raaton ko.

aana-jana jab se hai chorda tune,
kahi mere dil ko karar naa mila.
seene se lagaya maine teri yaad ko,
aa ke kabhi sunn meri fariyad ko.

dhoondti hain pyaasi nighae tumko
jinhein kabhi tera deedar naa mila.
tere liye sara ye zamana chorda hai,
tune hi dil ka ye sheesha torda hai.

tujh par lootaye phool khushiyon ke,
tuhi kabhi ban kar baahar naa aayi,
mera pyaar kabhi yaad karoge,
tardpoge raat-din , aahein bharoge.
ashkon ki baarat bahaya karoge,
jab tumhein koi sachha pyaar naa milega.

teri judai kaa har ek lamha,
meri zindagi ki dua kar raha hai,
ye hota nahi hai juda mere dil se,
tera dard mujhse wafa kar raha hai.

all I can say is goodbye

all I can say is goodbye
for my heart has died.
for my heart grew weak
so deep down inside.

my heart cannot love her
for my heart has died.
for my heart cannot say
what it feels inside.

I cannot smile nor laugh
for my heart has died.
for happiness is absent
with this pain inside.

all I can say is goodbye
for my heart has died
my heart will find peace
high in heavens skies.

zakham ke bina dard ka ehsaas bhi na hota

aasman na hota to chaand bhi na hota,
zakham ke bina dard ka ehsaas bhi na hota,

jaha rahega wohi roshni lutaayega,
kisi chiraag ka kabhi apna makaan nahi hota,

yeh kis mukaam pe le aayi hai tannhai,
ki ab dard bhi iss dil se bayaan nahi hota,

mere aanshu keh gaye haa-e-dil iss mehfil mein,
varna khawaish jaan de deta,
aur labon par koi gila bhi nahi hota.

main unhein bhool gaya hoon,
yeh kaun maanega iss duniya mein,
har ek ko manana raaj,
insaan ke bas mein bhi to nahi hota.

koi dard bhari aankhon se dekhle humein,
main woh an kahi baat hoon
jo honton par aate -aate dam tord chuki hai,
aur bin awaaz ke kisi ko
dard ka ehsaas nahi hota.

raaj ki pehchaan koi na samaj paaega iss jahaan mein,
main woh lafz hoon jo kabhi dastaan nahi hota.

nibhaya tha har dam pyaar ka rishta maine

main unke har waade ko nibhata raha,
woh mere har waade ko tordte rahe,

main saari raate unke liye roya,
woh sari raat chain ki nind sote rahe,

maine unke dil ko sambhala,
aur woh mere dil ko tordte gaye,

dard aisa diya unhone pyaar mein,
aanshu aankho se yuhi behte rahe,

main sath chala har dam unke,
aur woh sath mera chordte rahe,

main na samjh saka shayad unko,
woh pyaar ka mera majak banate rahe,

nibhaya tha har dam pyaar ka rishta,
woh har ghadi bewafai ka rishta nibhate rahe.

kya bayan karu meri zindagi ke bare mein

kya bayan karu aapse meri zindagi ke bare mein,
ye dard bhari mehfil mein ek aur dastan jurd jayengi,

pyaar karna to ek bhul thi mujhe malum na tha,
usse pyaar karke meri har khushi mujhse ruth jayengi,

paya kuch nahi, maine to sab kuch khoya hai,
zindagi dard ke pehlu mein bhatakti reh jayengi,

diye hai dard us zalim ne na jaane kitne pyaar mein,
dard ko ginte ginte puri zindagi yaha beet jayengi.

dil torda hai unhone mera kayi baar

waada kiya tha unhone mujhse ek din,
par unhein uss waade ko nibhane na aaya,

ruth gaya main unse kisi baat pe jo,
to phir kabhi mujhe woh manane na aaya,

tut gaya woh pyaar bhara khwab,
jab wo pyaar ka rishta nibhane na aaya,

dil torda hai unhone mera pyaar mein kayi baar,
par mujhe to kabhi dil unka tordna na aaya,

shak tha shayad unko mere pyaar pe,
par hamein to kabhi unpe shak karna bhi na aya,

bhul jane ki to aadat lagti hai shayad unki,
par mujh ko to unhein bhulna bhi na aaya.

kya uss sakhs ko sach mein tujhse pyaar tha?

aaj bhi mera dil mujhse yeh puchta hai,
kya uss sakhs ko sach mein tujhse pyaar tha?

kahi yeh deewanapan to nahi,
aisa to nahi ke tu bhram ka shikaar tha?

kashtiyan tufaano se bhi guzar jaati hai,
par jo kashti beech safar mein gum huyi thi,
aisa to nahi ke tu ussi kashti pe sawaar tha?

yeh baat bhi sach hai ki,
usne kabhi chaahat se inkaar na kiya,
par inkaar na kiya to kya hua?
kya uske taraf se kabhi ikraar tha??

nazro ke teer ka khel kabhi hum samaj na paaye,
kuch alfaazo ke liye yeh dil hamesha bekaraar tha.

khud se kabhi sawaal karta,
khud ko phir jawaab deta,
sachhai to yeh hai ki,
in sawaal-jawaabo se khwaish berkarar tha.

aaj bhi uss mord ko takte hain,
jis raah pe bichrde the kabhi,

sochta hoon...
kabhi door uss raah se woh nazar aaye,
aur kahe haan mujhe bhi tujhse pyaar tha.

khwaish

main iss umeed mein doob raha tha,
ki koi to hoga jo mujhe bacha lega,


saahil pe mere yaar par nazar gayi thi ek baar,
par mujhe kya pata tha ki,
dekh kar woh apni nazarein fira lega,

diya bhujte-bhujte bhuj hi jaata hai ek din,
zaroori nahi ki usse phir koi jala lega,

jis ki zubaan apni majbooriyon ke daanto talle kat gayi ho,
woh bebas insaan kisi se kya badla lega,

jo baat dil naa maane,
uss baat ko inkaar karna seekhle “khwaish”
zaroori nahi ki har baat par yun sar jhuka lenge log.

har mord par apne kadam phoonk kar rakhna “khwaish”
zaroori nahi ke sab jaha chal parde,
tu bhi wohi raahon ki disha lega.

yahan par khud par bhi kabhi aitbaar nahi hota “khwaish”
vaada kisi aur se tu kya lega.

gaiyro aur apno mein kyon fark karta hai “khwaish
tera apna bhi har mord par tera imtehaan lega.

apne ashko ko sambhaalna seekhle “khwaish"
kahi ro-ro kar inn ashko ko bhi tu gawa lega.

girte huye shaks ko sambhaalna asaan nahi hai “khwaish”
par umeed naa haar,
koi to hoga jo tujhe utha lega.

banke dard meri aankhon mein beh rahi hai

woh banke dard meri aankhon mein beh rahi hai,
aaj dard bhara shama kuch mujhse keh rahi hai,

door hote hue bhi aankho mein aanshu la rahi hai,
dard ki mehfil mein aanshu ke jaam pilaa rahi hai,

zindagi se meri kehla ke mujhe tabah kar rahi hai,
samjh ke ek bura sapna zindagi mujhe mita rahi hai,

anjan mazil pe wo kisi aur ke sath jaa rahi hai,
bewafai ka matlab woh aaj mujhe samjha rahi hai,

jootha sath deke woh apnapan jata rahi hai,
mere armano ko woh bardi khusi se jala rahi hai.

mera pyaar tum na samajh sake

tum pyaar ke kabil ho nahi, 
magar pyaar tumhein karte hain.
tum yaad ke kabil ho nahi, 
magar yaad tumhein karte hain.

mera dard tum na samajh sake,
mera pyaar tum na samajh sake.
duniya kahe tum bewafa ho, 
magar hum ye nahi kahte hain.

mera dil kyon thukra diya, 
yeh to bata jaa pyaar mera.
tu ho jahan, sada khush raho, 
bas yahi dua hum karte hain.

tum chali gayi mujhe chord ke, 
kyon iss anjaani rah par.
mil jaaye tumhein koi hamsafar, 
magar hum to yun hi akele chalte hain.

milte hain hazaaro log yahan, 
tum chali gayi ho phir kahan.
tum yaad na karna ab humein, 
yeh yaad mein dard  bahut hote hain.

tum hassti ho mujhe dekh ker, 
jara sa bhi mera khayal nahi.
yaad karogi tum ek din magar, 
tera raaj bhi tak mara nahi..

pyaar karne se pehale sochta kaun hai

tum bhi chup ho, mein bhi chup hoon,
dekhte hain ki pehale bolta kaun hai.

iss ishq mein hamesha dard hi to milta hai,
pyaar karne se pehale sochta kaun hai.

uske bin jee lenge hum, usko batado,
dekhte hain iss baazi mein jeetata kaun hai.

humne sajaye hain mahal sapno ke,
dekhna hai ki usme, rahta kaun hai.

bardi muskil.. yeh raat gujri hai tanhai ki,
nayi subah mein dekhte hain,

yeh naya chehara kaun hain.

dard lekar chain gawaya humne

kyu kiya ishq humne,
dard lekar chain gawaya humne,

aankhon mein 
kyu hai nami,
dillagi mein kami aayi hai,

ishq ko humne tarasha hai,
badale mein 
kyu ruswai paayi hai,

tu agar mujhse pyar kerti thi,
to kyu meri zindagi mein tanhai hai,

tu meri hai ki nahi.
fizao mein yeh khabar chayi hai,

yeh dil jo tha apna
kyu naam lekar tera aaj bhi dhadhakta hai,

diwaana bana kar mujhe,
teri aashqi kyu aaj bhi satati  hai,

maut ne jab saath chord diya,
zindagi ne maara hai,

hum akele nahi,
tanhayi ka sahara hai,

aaj manzar ko mere
sirf tera hi aasra hai,

marte hai hum jinpe
haale dil na unko pata hai,

rehte hain unko dil mein,
sapno mein bhi unka hi saya hai,

iss zindagi mein tumne
pyaar humein sikhaya hai,

maana maine na kabhi,
khul ke ishar kiya hai,

main deewana hun tera,
sirf teri chahat hi chaha hai.

naa jane kyun kuch aise dost bana jate hain

har baar hosla karte hain ,
phir khud hi tut jaate hain,
iss dil ko khud hi samjha kar ,
iss dil se haar jaate hain.

phir se ret ko muthi mein pakard kar
phisalta paate hain,
ankhoon mein samandar ko samette samette ,
chalakta paate hain,

har baar kuch chaah kar ,
woh khud hi kar jaate hain,
intezar karwate karwate ,
khud hi intezar karta paate hain,

naa jaane kyun iss dil ko ,
samjha hi nahi paate hain,

apne aap khud ko mana hi nahi pate hain,
woh kya samjhenge jazbaat jinhe ‘ehsaas’ hi nahi,
naa jane kyun har baar kuch aise hi dost bana jate hain.

as I walk across the sand

I stand here watching the sunset west,
thinking out loud, is this a test.

dreaming of the days gone past,
where did they go? they went too fast.

the sun beats down upon my face,
slowly disappearing with just a trace.

wondering about the times we had,
the memories, the love, it makes me sad.

the waves come in from the sea.
is this life? it just can’t be.

you have been gone, another year tomorrow.
my heart feels pain, my soul feels sorrow.

as I walk across the sand
asking why, I don’t understand,

I lay flowers at the place you left,
you were my love, my life, the best.

main wahi hoon jisse tum pyaar kiya kerti thi

main wahi hoon jise tum pyar kiya kerti thi,
din mein so baar mera naam liya kerti thi,

aaj kya baat hai kyon mujhse khafa baithe ho,
kya kisi aur ko dil apna bana baithe ho,

fasle itna to pehle na hua kerta tha,
main wahi hoon jisse tum pyaar kiya kerti thi,

mujh ko maloom hai gham hai koi sogaat nahi,
tum mujhe apna kaho aise bhi haalaat nahi,

aur gar bhool gaye ho to koi baat nahi,
zakham to pehle bhi is dil pe laga kerte the,

main wahi hoon jisse tum pyaar kiya kerti thi,
jee mein aata hai main aaj tumhein tardpa doon,

dard jo tum ne diya hai woh tumhein lauta doon,
aur gar jurm na samjho to yeh bhi dohra doon,

tum mujhe apna armaan kaha kerti thi,
main wahi hoon jisse tum pyaar kiya kerti thi.

ek baat puchoon

ho izaajat to ek baat puchoon,
jo ishq humse sikha tha,
woh ab kerte kisse ho??

kuch aisa hai yeh dil mera

mast rahe har waqt,
aisa khus naseeb nahi hai dil mera,
koi puche to kya kahu,
kaisa hai yeh dil mera...

tootne pe aawaz aaye,
aisa sheesha nahi hai dil mera,
koi puche to kya kahu,
kaisa hai yeh dil mera...

ek pal mein tumhe bhool jaaye,
aisa naadan nahi hain dil mera,
koi puche to kya kahu,
kaisa hai yeh dil mera...

ab koi puche to keh deta hoon,
mitti ki tarah hai yeh dil mera,

kuch aisa sa hi hai dil mera,
teri yaadon ke tufano mein,
kho jata hai dil mera,
ab koi puche to keh deta hoon,
kuch aisa hai yeh dil mera...

aankhon se anshoo behte nahi,
roota hai yeh dil mera,
ab koi puche to keh deta hoon,
kuch aisa hai yeh dil mera...

laut ke aaoge tum,
issi aas pe jeeta hai dil mera,
ab koi puche to keh deta hoon,
kuch aisa hai yeh dil mera...

raah dekhti hain yeh nigahein meri

dil ki gehraayiyon mein,
base naa jaane kitne gam hain,
inhi sawaalon se aaj,
yeh meri aankhein nam hain,

jisne dard diya,
kya de paayegi woh khushi mujhe,
inhi sawaalon mein aaj,
phansi meri dhadkane hain.

raah dekhti hain,
yeh nigahein meri,
shayad aaj ussi ke liye,
zinda hum hain.

unko hi apna haal-e-dil sunaate hain

aankhon mein panapte hain khwaab,
phir bhi woh aankhon ko rulaate hain,

khawaabon ke aagosh mein kayi rang hain,
dil mein woh ummidein jagaate hain.

zulf-e-yaar ke hum yun khoye,
aankhon mein kayi sapne sajaate hain.

dil-e-dastaan kuch aisi hai hamari,
tasalliyon se dil ko manaate hain.

aisi chaahat ko hum kya kahein,
sache aashiq khud ko azmaate hain.

lakh dukh ho chaahe is safar mein,
apne aanshuon ko unse chhupate hain.

maharam-e-dil hai woh meri dil mein,
unko hi apna haal-e-dil sunaate hain.


aye zindagi tujhse khafa hoon main

aye zindagi tujhse khafa hoon main,
gaiyron se wafaa karke khud se bewafaa hoon main,


meri tanhaiyaan mujhse bichard ke kiss haal mein hai,
saza kya dun tujhko ki tujhse kaise judaa hoon main?

ashk aankhon se nikle to kahaan dil tak jaate hain,
seene se laga le mujhko ki teri dawaa hoon main,

sochta tha ki bahon mein bhar ker rakhuga tujhe har par,
dekh kaisi galatfaimy aur kismat ka khudaa hoon main,

faasla nazaron ka dhokha bhi to ho sakta hai,
tujhko phirse chhune ke bahaane kabse khadaa hoon main,

kabhi apno se jo gum huye haasil raaj,
kuch yaad rakhe usne, kuch bhul gayaa hoon main.

All Time's Favourite Posts