ye deewanapan humein le aaya hai kaha

deewanapan humein le aaya hai kaha,
woh bahon ki garmiyan,
woh sanson ki narmiyan,

woh ret mein chapte pairon ke nishaan,
woh dhalti shamon ke rang jawaan,
aks humara jaane kho gaya kahan,

har aaine mein ho tumhara hi gumaan,
lamha lamha ruk gaya hai yahaan,

tumhare aagosh mein tanhai ka ehsaas kaha,
ab to yeh ruh hai wahan, tum ho jahan,
uff deewanapan humein le aaya hai kaha.

1 comment:

  1. Greetings from the UK. I enjoyed reading.

    Thank you. Love love, Andrew. Bye.

    ReplyDelete

All Time's Favourite Posts