raaton ko tannha yaadon mein kisi ki

jo keh naa sake woh fasana yaad aata hai,
gujara hua dilkash zamana yaad aata hai,

jab husn se ishq takraya tha kabhi,
ghayal hua tha ek parwana yaad aata hai,

dil se mohabbat ke toofan uthe the jab,
aankhon ke sapne sajana yaad aata hai,

gulaab jaise din mehakte the mere,
raaton ka gungunana yaad aata hai,

aankhon ka mil kar jhuk jana nahi bhula,
hothoon ka thar-tharana yaad aata hai,

mera unko tirchi akhiyoon se dekhna baar baar,
aur unka woh muskurana yaad aata hain

raaton ko tanha yaad mein kisi ki,
dhuan udata ek deewana yaad aata hai.


No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts