main darta hun ek din kahi ye dil dhadakana naa chord de

main darta hun ek din kahi ye phool mehakana naa chord de,
main darta hun ek din kahi ye bhanware gungunana naa chord de,

thokaro ne aise aise nishaaniya chordi hain chahere pe mere,
main darta hun ek din kahi yeh hoth mushkuraana naa chord de,

ab to aadat si ho gayi hai, rishta bhi purana ho chuka hai,
main darta hun ek din kahi ye aankh rona naa chord de,

duniya waalo ki sunte sunte ek aise makaam par pahuch gaya main,
main darata hun ek din kahi ye zubaan bolana naa chord de,

duniya ne to nahi apanaaaya, par ab to khuda ne bhi thukaraaya,
main darta hun ek din kahi yeh dil us par aitabaar karna naa chord de,

barda hi naazuk hai phir bhi sab zakham hi diye jaa rahe hain log,
main darta ho ek din kahi yeh dil dhadakana naa chord de,

shukr hai khuda ka ki usne mujhko aur haatho se to baksh diya,
main darta hun ek din kahi ye haath likhana naa chord de.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts