aisa zulm kisi aur pe na karna

kabhi akele me bethkar ye khayal aata hai,
ki har dum mujhe kyu wo hi yaad aati hai,


jisne zakhm itne diye,
jisne sabhi waade tord diye,
kya usse bhi kabhi tanhai mein koi gam satata hai,


umra bhar ka sath nibhane ka kehti thi jo,
wo chand lamho ka bhi sath na nibha paayi,

kya itna kamjor pyar hota hai?
kya kabhi use apne kiye per afsos hota hai?

unhone apna daaman phoolo se saja liya,.
humara nata kaato se jord diya,
aasma pe bihtakar pal bhar mein gira diya,
kya yahi usne mujhe meri wafao ka sila diya?


palat ke bhi na dekha ki hum mar gaye ya ji rahe,
kya yahi sab achhai ke naseeb mein aata hai?

uski yaad mein maine kitne aashu bahaye,
kya wo bhi kabhi hum pe zulm karke roti hai?

hai is duniya mein khuda kahi,
to kya yahi uske darbaar mein nyay hota hai,
ki har ek begunaah gamo mein rota hai aur,
kasuwar sone ki sej par sota hai??


hum to usme bhi khush hain,
na kabhi shikawa ki na shikayat ki,
har zakhm hass kar seh gaye,
apne aashuo ko khud hi pi gaye,


par aye-khuda itna reham zarur karna,
ye hasin zulm kisi aur pe na karna,
na karna… na karna...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts