kaash woh phirse bulaayein mujhko,
phir wahi sheir sunaaye mujhko,
jab bhi baahoun mein mujhe neend aaye,
jaagte khwaab dikhaaye mujhko,
raat ke baad jab subha aaye,
roo-b-roo jaagte paayein mujhko,
mein unhein dekhun, woh mujhe dekhein,
apne saaye-sa banaaye mujhko,
kaan mein, paas aake chupke se,
baatein raaz ki bataaye mujhko,
ho mithi mithi nok jhok, phir pyaar dher sara,
khud ruthe phirbhi manaye mujhko,
sapno mein sair karein taaroun tak,
khud uthein, aur uthaayein mujho,
saakhi ban rahein kayamat tak,
jaam dar jaam aankhon se pilayein mujhko,
mein rahun jis jagah, wahi ho woh,
har lamhein roo-b-roo laaye mujhko,
ab log chaahe na chaahein mujhko,
woh magar har lamhein chaahein mujhko.
phir wahi sheir sunaaye mujhko,
jab bhi baahoun mein mujhe neend aaye,
jaagte khwaab dikhaaye mujhko,
raat ke baad jab subha aaye,
roo-b-roo jaagte paayein mujhko,
mein unhein dekhun, woh mujhe dekhein,
apne saaye-sa banaaye mujhko,
kaan mein, paas aake chupke se,
baatein raaz ki bataaye mujhko,
ho mithi mithi nok jhok, phir pyaar dher sara,
khud ruthe phirbhi manaye mujhko,
sapno mein sair karein taaroun tak,
khud uthein, aur uthaayein mujho,
saakhi ban rahein kayamat tak,
jaam dar jaam aankhon se pilayein mujhko,
mein rahun jis jagah, wahi ho woh,
har lamhein roo-b-roo laaye mujhko,
ab log chaahe na chaahein mujhko,
woh magar har lamhein chaahein mujhko.
No comments:
Post a Comment