apne rashton ko tannha chupi se saja rakha hai

ajeeb sawal uthe hain humari ladkhadati huyi chal ke upar,
kaise batayen hum ki paaon ke niche sholon ko chupa rakha hai,

dikhayenge nahi kabhi in tajja chhalon ko hum,
yeh to woh gum hai jinhein seense se laga rakha hai,

kaise girayen un deewaron ko jo hain dil ke aas pas,
inhone hi to is bedard duniya se ab tak bacha rakha hai,

kaise batlaye hum apne gum ki paidasih ko aaj,
ke zuban ko mile dhokon ne gunga bana rakha hai,

chord jate hain humsafar bhi bure waqt me saath apna,
jo apne raston ko tannha chupi se saja rakha hai,

gum ke badal rehte nahi,
kushiyon ki kirne jaroor milengein,
in jhoote waadon se kismat ne humein latka rakha hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts