mere dil ke har kone se awaz yehi aaye

ek hi duniya mein rehte hain phir bhi mil nahi paate,
tumse to tumhare khawaab ache hain jo,
aankh band karte hi chale aate hain,


phool bankar muskurana zindagi hai,
muskurakar gam bhulana zindagi hai,
yehi kudha se duwa hai meri tujhe,
duniya bhar ki kushiya de,


aasman mein itne taare ho ki,
mujhe aasman nazar na aaye,
aye khuda mere kaatil ke,
daman mein itni khushiyan ho,
ki usse gam kabhi nazar na aaye.

hum to sirf  unki baat kiya karte hain,
har dhardkan unke naam kiya karte hain,
woh hain humein apno se bhi pyare,
tabhi to wakt bewakt unko yaad kiya karte hain,

har gam unka hum par se guzar jaye,
palkon par unke nami tak na aaye,
har khushi rahe damanme unke,
mere dil ke har kone se awaz yehi aaye.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts