har kushi se apna daman bachane lage

kitni fariyaadein jurdi thi har ek kushi ke saath,
chand kushiyon ko sameet kar apni zindagi mein hum sajjane lage,

kush the hum bahot apne iss chote se chaman mein,
ke jane kaisa mausam aaya aur sab phool ek ek karke murjhane lage,

lak koshishe ki apni iss bahar ko bachane ki humne,
par kismat ke khel.. jo kaante haaton mein chubhane lage,

aanshoon bahate gaye yuh apne armano ki maut dekh kar,
shayad tabse hi hum har kushi se apna daman bachane lage.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts