so jaate hain hum teri yaadon ki chaadar ordh kar

zindagi tera pichha bahut door tak kiya,
ab chala jaun main kaise tujhse muh mord kar,

jisne chaha tha mujhe kabhi tut kar,
aaj jaa rahi hai woh mujhe tord kar,

humein to tannhaiyon ki aadat daalni hi hogi,
khush rehna tum sada kisi aur se naata jord kar,

raat ke andheron mein jab dil ghabrata hai,
so jaate hain hum teri yaadon ki chaadar ordh kar,

jinke liye chord aaye the hum ye duniya,
dekho aaj woh chale hain humein chord kar.

pyar ka aanjam kya hota hai

yeh pyaar kya hota hai?
pyaar ka saath kya hota hai?

kyun khote hain achche dost?
iss dil ka yeh haal kyon hota hai?

chal pardte hain hum jis pyaar ki raha pe,
kyun koi humare saath nahi hota hai?

raha pe chalne se pehle kyun log sochte nahi,
iss raha ka aanjam kya hota hai?

kahi kho jaati hai yeh raha,
kyun mera yeh safar kabhi pura nahi hota hai?

milta hai jo bhi humsafar iss safar mein,
kyun woh humsafar saccha nahi hota hai?

chord jaata hai haath mera
root jaata hai pyaar mera,


to phir yeh pyaar kya hota hai?
pyar ka aanjam kya hota hai?

kya yeh dard ka sirf ek paigam hota hai??

kiski lagi baddua

tu hi bata zindagi jo bhi hua kyon hua,
khoyi hai kyon har khushi, kiski lagi baddua,


tu hi bata zindagi jo bhi hua kyon hua,
khoyi hai kyon har khushi, kiski lagi baddua.

kise kise jawab dun, bhuja bhuja yeh dil hai kyon,
kya main kahoon bikhra kyon mera sapna sara,

tu hi bata zindagi jo bhi hua kyon hua,
khoyi hai kyon har khushi, kiski lagi baddua.

bheege bheege din, kali raatein,
aashun ke jaise barsatein,


bheege bheege din, kali raatein,
aashun ke jaise barsatein,
puche mujhse jo dil ki baatein,


kya main kahoon dard kyon dil ko mila,

tu hi bata zindagi jo bhi hua kyon hua,
khoyi hai kyon har khushi, kiski lagi baddua.


suna suna sa hai ab yeh mann,
doobi doobi si hai ab dhadkan,


suna suna sa hai ab yeh mann,
doobi doobi si hai ab dhadkan,

jaaon kahan ab yahi hai uljhan,

kya main kahoon khoya kyon rasta mera,

tu hi bata zindagi jo bhi hua kyon hua,
khoyi hai kyon har khushi, kiski lagi baddua.


khoyi hai kyon har khushi kiski lagi baddua,
kise kise jawab dun, bhuja bhuja yeh dil hai kyon,
kya main kahun, bikhra kyon sapna mera,
tu hi bata zindagi jo bhi hua kyon hua...??

tannha hun magar saath hai tannhai

hum se yun na mila karo aye tannhai,
shayad hai itni siddat mein ruswaai,

tannha baitha baatein kerta hun,
tannha hun magar saath hai tannhai,

baitha rehta hun saath uske baatein kerte,
ke kabhi apni si lagti hai tannhai,

hum se yon na mila karo aye tannhai,

shayad hai itni siddat mein ruswaai,

waqt gujarte maloom nahi hota,
baatein kerte kerte sula deti hai tannhai,

hassta rehta hun saath uske,
ke hassti hai tannha dekh ker meri tannhai,

kuch kehti nahi mere bare mein,
bina kahe kuch keh jaati hai meri tannhai,

tannha baithe baatein kerta hun,
tannha hun magar saath hai tannhai,

hum se yun na mila karo aye tannhai,

shayad hai itni siddat mein ruswaai.

wrong timing

when you got in
I went out,
such is the wrong timing
of your compassion.

then we talk
about the proper timing
of our desires,

you set the time, the place, and the mood
now it is not just desire but love.

yes, love..
but sometimes I still wonder
what love is?

when two people meet at the proper time,
the proper place, and the proper mood,

when everything seems right and yet
feels so wrong,

when everything is supposedly proper
and yet there is still this
feeling of impropriety,

I am (x) years old and you are (y)
and I am just asking
when we all want to be inside
the room of ecstasy,

and yet they all want us out.

just because they also feel
that the timing may be right
but it simply does not look all right,

and then you are a little
bit irritated and you ask finally.

jaane kab se kar raha hai koi tumhara intezaar yuhi chalte chalte

socha kabhi yuhi phir mil jaoge tum chalte chalte,
aur sath nibhaoge yuhi tum mera chalte chalte.

kya khabar thi na aaoge tum,
aur na kabhi yuhi tham loge mera hath chalte chalte.

reh gaye ab hum tannha in rahon mein,
jin par kabhi tumne kiye the waadien yuhi chalte chalte.

barda tardpati hai, rulati hai tumhari yeh yaadien,
jo de gaye the tum kabhi yuhi chalte chalte.

bas ab ehsas hai tumhara, 

pata hai.. na tum ho na hai saya tumhara,

jane phir bhi kyon dhundti rehti hai,

yeh aankhein un raho mein tumhein,
jin par kho gaye the tum kabhi yuhi chalte chalte.


kya kabhi tum aaoge nahi un waadon ko pura karne,
jo kabhi kiye the tumne yuhi chalte chalte.


yaad karna jara na aane se pehle,
jaane kab se kar raha hai koi tumhara intezaar yuhi chalte chalte.

naa hum jaante hain naa woh jaante hain

ye raat mere naseeb ki hogi kitni lambi,
naa hum jaante hain naa woh jaante hain,

kiya hai kya asar mere zindagi ne mujh pe,

naa hum jaante hain naa woh jaante hain,

kiya hai maine khud ko samay ke hawaale,
samay mein hai chhipa kya yeh koi kya jaane,

samay ki ye jaddozehat rahegi aur kitni,

naa hum jaante hain naa woh jaante hain,

naseebon ka khel yeh naa koi jaan paayaa,
naseeb se koi bichdaa, naseeb ne milaayaa,

neseeb mein hai kya ab koi aur aane waala,

naa hum jaante hain naa woh jaante hain.

apne faisle pe ek baar phirse tum sochlo

agar kuch baki rah gaya ho to,
mere bare me phir se tum puchh lo,

adhuri si lagti ho koi baat tumhe,
to us baat ko tum phir se jaan lo,

khada hun main usi mord pe abhi tak,
tum zara apne dil me jake ker mujhe  dekhlo,

shak ho agar koi baat ka mujhpe,
pyaar ko aage bardhne se tum rok lo,

juth mat bolo , kisi baat pe mujhse,
apne faisle pe ek baar phirse tum sochlo.

the goodbye kiss

I happened upon your memory today,
I try to forget, but in my mind you stay.
heartbreaking it was that we said goodbye,
it was for the best, I can’t lie.

I know that you loved me, I even felt it too,
but I still couldn’t bring myself to loving you.
this chapter of my life just isn’t over yet,
still, you are a part of me that I can’t forget.

you are still my solace on those lonely nights.
you still keep me warm, and hold me tight.
I hear your laughter, I can see your smile.
you are the only one that soothes me,
no matter the miles.

so, if it’s true things happen in mysterious ways,
then perhaps I will find you again someday.
I wanna hold you, and look into your eyes,
as we share our first kiss, and our last kiss goodbye.

for now, I hope your promise is lying next to you,
loving you completely, the way I couldn’t do.
and I hope your heart’s as filled as it could ever be,
but please, could you save a little spot for me? 

yeh mere jazbaat hi meri zindagani hai

sirf lafz nahi yeh dilon ki kahaani hai,
mere nagamein mere pyaar ki nishaani hai,

rakhna sambhal ke tum inhein apne paas,
yeh mere jazbaat hi meri zindagani hai,

mehsoos kar lo kabhi meri mohabbat ko,
kya kehti in dhadkano ki jubani hai,

roz saweraa aata hai tera ehsaas liye,
tere naam se hoti raatein suhaani hain,

bhula na dena tum kabhi mujhe yaar,
woh to bas in nagamon ki deewaani hai,

jo kuch bhi hoon main aaj duniya mein,
sab teri hi inayaton ki meharbaani hai.

na jane kab kaun badal jaye tere waadon ki tarah

woh ehsaas bhi murjha gaye tere diye phulon ki tarah,
hum bhi mohabbat ke mare ho gaye auron ki tarah,

tu aayi thi apni marji se aur chali gayi,

mere dar par na lauti tu mausamon ki tarah,

kya chupaun main palakon ke pardon se,
chalak hi jata hai dard aankhon se ashkon ki tarah,

shak hai hamein ab naam-e-wafa par,
na jane kab kaun badal jaye tere waadon ki tarah,

jee to hum lenge hi tere bina bhi,
chubhti rahegi teri baat hamesha kaaton ki tarah,

khuda tujhe khushiyaan adda kare,
kabhi na tute tera koi khawab mere armaano ki tarah,

bas ab yehi dua karenge hum sada,
tujhse khushiyaan jurdi rahe, 
mujhse mere gumon ki tarah.

aaj sabse jada karta hun ussi se nafrat main

ye kya ho raha hai, ye kyun ho raha hai,
kya theek hai, jo kuch bhi ho raha hai?

har aahat par lagta hai kisi ne dil ko pukaara,
dusre hi pal mehsus hua ki jhut hai ye saara.

nahi jaanta kya sach hai aur kya jhut,
gar yun hi chalta raha to jaaonga main apni zindagi se ruth.

woh pyar ke kaabil hi nahi thi,
phir kyun dil uska intzaar karta hai?

woh pyaar ke naam par ek dhabba hai,
phir kyun yeh manne se yeh dil inkaar karta hai?

jis ladki se mujhe mohabbat huyi thi,
woh ladki to kahi kho gayi hai,

jo ladaki mere saamne ab hai,
yeh woh nahi hai jisse mujhe mohabbat huyi thi,

na jaana usne kabhi bhi ki,
kitni mohabbat karta tha unsse main,

lekin ab woh yeh jaan hi le to acha hoga,
ki aaj sabse jada karta hun ussi se nafrat main.

kuch aise badnaseeb bhi hote hain

khwahishen kahaan kisi ki puri hoti hai,
sapno ki hakikat to bahut buri hoti hai,


jitni bhi karlo aarzoo humdum ko paane ki,
darmeyaan utni hi doori hoti hai,

bichard jate hain sathi safar-e-zindagi mein,
mil na paana to unki majboori hoti hain,

milkar bhi bichad jaate hain, 

kuch aise badnaseeb bhi hote hain,
judaai ke aalam mein,
phir milan ki umeed har dil me hoti hai,

mehkta hai unka pyaar ek duje ke sahare,
muskurahat honthon pe jaroori hoti hai,

chehare pe jhooti muskurahat jaroor sajaa ke rakhte hain,
na jaane kaunsi mord pe ek aur gam se mulakaat honi hoti hai,

soch nahi sakte zindagi ko us sathi ke bina,
bichardana to dono ki kamjoori hoti hai,

wajood hi nahi hai ek doosre bina koi,
judaai ki ghatiya chaal wakt ne jo chali hoti hai,

phir bhi chalte rehte hain bina kuch soche,
ek duje ke bina zindagi adhoori hoti hai,

milan hoga jis din chaahat ka apni chaahat se,
us din dekhna duniya ko jalan kitni honi hai..

main tumhare bare me bahut kuch socha karta hun

tumare har sawal ka main tumko jawab dena chahta hun,
main tumhare bare me bahut kuch socha karta hun,

khus raho tum jaha bhi raho tum, bas yehi main chahta hun,

main tumhare bare me bahut kuch socha karta hun,

tumhare liye yuhi hamesha main kuch likhna chahta hun,

main tumhare bare me bahut kuch socha karta hun,

yuhi main tumhare sath har roz bas baatein karna chahta hun,

main tumhare bare me bahut kuch socha karta hun,

jab tak main jeeyu tab tak, main muskurana chahta hun,

main tumhare bare me bahut kuch socha karta hun,

main hun jab tak yaha, main tumhein bahut hassana chahta hun,

main tumhare bare me bahut kuch socha karta hun,

tum dil me bassa lo mera har likha hua laffz, yehi main chahta hun,

main tumhare bare me bahut kuch socha karta hun,

tumhare har dard mein main tumhare sath rehna chahta hun,

main tumhare bare me bahut kuch socha karta hun,

zindagi ka kuch waqt tumhare liye baki rakhna chahta hun,

main tumhare bare me bahut kuch socha karta hun,

tumhari har khawahis puri ho uske liye me prarthna karna chahta hun,

main tumhare bare me bahut kuch socha karta hun,

bas aur ab main kya kahu. .bas yahi kahunga ki,

main tumhare bare me bahut kuch socha karta hun.

tum bin hum aise hain

tum bin hum aise hain..
jaise luta hua koi bank,
jaise paani ka khaali tank,

jaise bin cpu ke computer,
jaise bin pahiye ke scooter,

jaise bin goli ke bandook,
jaise bin pages ke book,

jaise bin battery ke torch,
jaise bin chaabi ke lock,

jaise bin dhaar ka chaaku,
jaise bin daadhi mooch ka daaku,

jaise bin petrol ke gaadi,
jaise bin bagh ke maali,

jaise bin teeli ke machis,
jaise bin sugar ke sweet dish,

jaise bin sabji ke katora,
jaise bin besan ke pakora,

jaise bin namak ke daal,
jaise bin khopdi ke baal,

tum bin hum aise hain jaanu,
tum bin hum aise hain..

What is LOVE II

Love is being with your loved one,
Love is dancing in the rain,
Love is a feeling of togertherness,
Love is the light of life,
Love is secret we both share.

Love is talking about tomorrow,
Love is heaven’s blessig to us,
Love is lending a tissue to the other to we wipe off the tears,
Love is holding hands for hours,
Love is a gift to the heart,
Love is laughing with joy,
Love is licking ice-cream from one cone,
Love is a beautiful melody,
Love is giving freely & generously,
Love is a feeling to be treasured,
Love is fooling around with your loved one,


Love is magical twosome
Love is blushing at the very sight of the loved ones,
Love is an ever bloming flower,
Love is looking into each other’s eyes,
Love is sharing rainbow walks,
Love is expressed by little deeds,
Love is the anchor in life’s ocean,
Love is a feeling of belonging,
Love is depending upon each other,
Love is life’s sweet mystery,
Love is burning desire,
Love is looking in the same directions,
Love is the music played by every soul,

Love is forever young,
Love is sharing chocolates,
Love is spending moments with the loved one,
Love is gentle and tender as a kiss,
Love is something which gives life as zing,
Love is like a precious gem,
Love is counting stars at night,
Love is a celebration of togetherness,

Love is like magic,
Love is more than word can say,
Love is dreaming the same dream,
Love is a memory to cherish forever,
Love is a kiss that lasts forever,
Love is the road that leads to happiness,
Love is living in wonderland,
Love is soaring to never heights,

Love is blind,
Love is beautiful like a rainbow,
Love is finding a partner for life,
Love is dreaming dreams together,
Love is the strongest feeling ever known,
Love is as pure as dew drops,
Love is having fun together,
Love is doing crazy things,
Love is listening to the heart,
Love is colourful like flower,
Love is unselfish and sacrifice,

Love is all that I see in you,
Love is walking together forever on the path of life,
Love is sneaking out late at night,
Love is two hearts beating as one,
Love is what I will share with you now &  forever.

Because I’ll never forget you

You are the special one with whom I needn’t pretend,
You are always there when I need you just like a proper friend,

I didn’t think I did trust anyone the way that I trust you,
But you have this way about you and know how to get through,

I have told you things I have only thought about of silent dreams,

I couldn’t let out of life, emotions and trivial things,
Such things of which happiness brings.

I tell you if I am sad, or simply just confused,
You are always there to listen, but never to be used.


I tell me my secrets and what I am going through,
You are always there for me as I am for you.

Your friendship is a special gift, a lifetime it will last,
Look to the future now and never to the past.


New people you will meet, and many things you will do,
But never forget me, because I’ll never forget you...!!

what is love

love is what, which made me cry,
love is what, which made me fly,
love is what, which made me feel shy,


love is what, which made me smile,
love is what, which got it right,
love is what, which no one thought, 

but was on the spot.

love is what, which makes me survive,
love is what, which keeps me alive,


so show love to others, 
so you will be remembered forever..!!

love is not blind

love is not blind – it sees more and not less,
but because it sees more it is willing to see less.

to the world you may be one person,
but to one person you may be the world.

love is strong yet delicate,
it can be broken.

to truly love is to understand this,
to be in love is to respect this.

love is like a mountain, hard to climb,
but once you get to the top,
the view is beautiful.


the bond of two peoples love cannot be broken,
bend it, twist it, do what you will with it,
if it is true love then the sun will rise another day.

love is always bestowed as a gift,
freely, willingly, and without expectation.


we don’t love to be loved,

we love to love.....!!

kaash ki usko ehsaas hota

mera dil agar mere paas hota,
pehlu woh bhi kuch khaas hota,

khota na mere din ka chain,
jaagta na main saari saari rain,

theharta nahi waqt is kadar,
bhatakta nahi main dar badar,

khush hota main, na udaas hota,

jaadu tha woh pehli nazar ka,
rog mil gaya saari umar ka,

tardpaati hai kitna woh mujhko,
ye baat kaise batayoun usko,

aye kaash ki usko ehsaas hota...!!

raahi tu talash mein kiski ja raha hai

raahi tu talash mein, kiski ja raha hai,
kiske liye tu apni, zindagi gawa raha hai,


dil bhi paagal tha itna, jo uspe aa gaya,
jaane kya usmein, tujhko bha gaya,
beeta hua ek ek pal, tujhko tardpa raha hai,

raahi tu talash mein, kiski ja raha hai...

jisko samjha tha tune apna, woh to nikla bas ek sapna,
sapne dekhna chord de, waqt bata raha hai,
raahi tu talash mein, kiski ja raha hai...

zindagi mein dukh ke pal aate hain jaate hain,
aise log aate hain aur jaate hain,
ek aur aaya aur jaa raha hai,
raahi tu talash mein, kiski ja raha hai...

ek deewana kehta hai, yeh achha bura kya hota hai,
koi milta hai koi khota hai, pyar mein sab kuch hota hai,
iss baat pe kyun tu ashkon jaise, moti baha raha hai,

raahi tu talash mein, kiski ja raha hai...

ussi ko hum apna subkuch maan baithe hain

apne halath to ab kuch is tarah ke lagte hai,
zindagi meri ab ek  saza si lagti hai,
ab toh khushion ke armaan bhi na rahe baki,
khushi aaye to kisi ki baddua si lagti hai,

ruthe huye ko manane ka ab shouk bhi na raha,
kisi ko manana bhi ab ek sazaa si lagti hai,
aaiyene mein khudse nazar nahi mila paata hun,
kyu dikhti hai woh surat aaj bhi mujhe,

woh mujhe behadd khafaa si lagti hai,
chupaya dil mein gamon ka jahan baithe hain,
hum teri yaad mein bass bejaan se baithe hain,


yeh baat aur hai ki hum manzil tak naa pahuch sake,
magar hum saare kaaton bhare raahon ko chal baithe hain,

gardish me takdeer humein aur kya satayegi,
luta kar hum apna naam-o-nishaan baithe hain,
ek woh jo mohabbat ki dushman hai,
ussi ko hum apna subkuch maan baithe hain.

aankhon se to tu dur hai per dil ke mere paas hai

aankhon se to tu door hai,  par dil ke mere paas hai,
har pal har waqt ab, bas tera ehsaasa hai,

jaoon chahe mein jaha, rehti tere milan ki aas hai,
sunoo kisi aur ko par, aati teri hi awaaz hai,

sochoon kisi ko par, dimag mein teri chap hai,
bhujhaaye na bhuje jo, yeh kaise teri pyas hai,

reh nahi sakta ab bin tere, mere liye tera pyar khaas hai,
aankhon se to tu dur hai, per dil ke mere paas hai.

aisa aksar hota hai jab tannha hum hote hain

hum tanhai mein aksar unko yaad karke rote hain,
aisa aksar hota hai jab tannha hum hote hain.

bujhte charagon ko thaam lije, lau huyi hai ahista,
raat ki khamoshi mein aksar rushwa hum hote hain.

kuch door tak saath chale the apne sang saaye bhi,
zindagi ke safar mein, aksar sikwa hum hote hain.

unke daaman mein saari khushiyan,

apne daaman mein kuch nahi,
gham ki dor ko aksar aashuon se hum pirote hain,

tera milna aur bichadna zindagi jeena sikha gaya,
har subah mohabbat ke sapane hum yun hi sanjote hain.

aaj samajha hun main

aaj samajha hun main,
kyu darata hai har koi dil lagane se,

sirf bewafayi milti hai,
bhale lard jaao kisi ke liye zamaane se,


aaj samajha hun main,
kyu lardta hai samndar apne kinare se,
sirf pal bhar ki khushi,
hi milti hai kinare ke mil jaane se,


aaj samajha hun main,
kyu hatta nahi tufan apni zindagi mein se,
jab aandhi hi aandhi hai,
ab uske zindagi mein chale jaane se,


aaj samajha hun main,
kyu barish girti hai itni sari aasmano se,
dukh hota hai badal ko bhi,
waha pani ke bichad jaane se,


aaj samajha hun main,
kyu aag nahi bujhti nafrat aur tanhai se,
kyuki aaj zindagi adhuri hai,
meri uske naam ke mit jaane se,


aaj samajha hun main,
koi fark nahi pardta kisi ke reh jane se,
woh khus rahe yuhi bas,
tannha na ho mere chale jaane se,


aaj samajha hun main,
kyu beh jate hain aanshu har waqt aankho se,
shayad unko khusi mil jaye,
mere aankho se aanshu yun giraane se.

kuch tujhe mujhe nakaam kehte hain

kuch to sunke hain hasste,
to kuch hain rote,
tere mere kisse ab bhi,
hain galiyon mein hote.

kuch tujhe mujhe ilzaam dete hain,
kuch tujhe mujhe nakaam kehte hain,

tere mere kisse logon ke,
zubaan par aam rehte hain.

kuch tujhe bewafaa kehte hain,
to kuch mujhe bewafaa kehte hain,

ishq kya balaa hai, 

log tera mera naam leke kehte hain,

kuch log tujhe badnaam karte hain,
kuch log mujhe badnaam karte hain,

lekin ishq ke naam par,
dono ko salaam dete hain.

tannhai mein uski yaad aa jati hai

raat ko jab main baithta hun akela to,
tannhai mein uski yaad aa jati hai,

woh jo humne sath gujare the woh pal,
woh sare pal ki har baatein yaad aa jati hai,

pata nahi tha mujhe ke pyaar mein,
iss tarha kisi ki taqdeer bhi badal jati hai.

bas yaad mein uski tardpta hun ab to,
tasvir aaj bhi uski dekhkar meri,
aankhein anshuo se bhar jati hai.

sukar hai chalke nahi meri aankhon se aanshu

dard jab hadd se guzra to meri kahani ban gayi,
mere lab se nikle meri zabani ban gayi,


sukar hai chalke nahi meri aankhon se aanshu..

chalak jate to na jane kya se kya ho jata,
shayad main is duniya se kisi ki yaadon mein hi kho jata.

main apne dil ko samjhau kaise

apni tannhai ka aalm tujh ko batau kaise,
apni barson ki tardap chupaon kaise,

raha na jaaaye tere bin ab,
main apne dil ko samjhau kaise,

na jaane kasi kashish hai tujh mein,
main apne jazbat ko rok paau kaise,

na jaane kasi aas hai tum se,
main apni umeedon ko rok paau kaise,

bara dil-nashi hai ehsaas tera,
main iss ehsaas se bahar aaun kaise,

pata nahi kaisa hai yeh diwanapan,
main apni diwangi ko rok paau kaise,

barde pyar se sajaya hai sapna ye apna,
main apne inn sapnoo ko tord paau kaise,

main yahan tu wahan,
main apne aap ko sambhal paau kaise.

log pyar kyu karte hain

kabhi kabhi lagta hai,
log pyar kyu karte hain,
iss choti si zindagi ko,
aanshuon se kyu bharte hain,

woh jhoothe sapne, 
kuch lamhon ki yaadein,
woh tute waade, 
woh unsuni fariyaadein,

woh zindagi ka ek pal mein bikharna,
woh toofanon se akele guzarna,
woh pal jab jeete banta hai na marte,
aur jaha milti hai tanhaiyon ki saugaate,

aise bhanwar mein insan kyu fans jata hai,
kyu samandar mein apni, 
kashti khud hi dubata hai,

sab kuch jante samajhte bhi,
kyu pyar karte hain log,
iss choti si zindagi ko,
aanshuon se kyu bharte hain log,

mere paas jawab nahi,
isiliye ye sawal kiya hai,
kya kahu maine bhi kisi se pyar kiya hai...

hum unke dil mein jo nahi rehte

jo aanshu dil pe girte hain wo aankhoon mein nahi rehte,
bahut se shabd aise hain jo laffzoon mein nahi rehte,

kitaboon mein likhe jatein hain duniya bhar ke affsane,
magar jin mein hakeekat ho kitaboon mein nahi rehte,

bahaar aaye to har phool par ek saath aatein hain,
hawa jin ka mukaddar ho wo shakhaoon pe nahi rehte,

mehak aur titliyoon ka naam bhanware se jorda kyon hai,
ke ye to bas khicche aate hain, pholoon mein nahi rehte,

liye phirte hain kuch khawab aise hi dil mein hum,
kaise pure ho wo khawaab, ab hum unke dil mein jo nahi rehte.

tum magroor ho gaye ho

door ho gaye ho mujhse,
tum door ho gaye ho,
hum badnam ho gaye hain,
tum mashoor ho gaye ho.

yeh sila mila hai mujko,
tere pyar mein sanam,
yeh keh rahein hain sab,
tum magroor ho gaye ho.

woh vaade woh kasme,
mohabbat ki sabhi rasme,
bhula di hai sari, 
ya majboor ho gaye ho?

chaha tha humne to,
dil aur jaan se lekin,
kisi aur ke kyon,
mehboob ho gaye ho?

bhulana bhi chahe to,
bhula na sake hum,
nashe ka tum aisa,
saroor ho gaye ho.

raj’ ki kismat mein hi tu nahi thi,
phir bhi tum uska garoor ho gaye ho.

nishaniya mohabbat ki dikhaau kisko

dastan-aye-ishq main sunaau kisko,
nishaniya mohabbat ki dikhaau kisko,

mehfil mein to aksar muskurate hain sabhi,
ekkant mein le ja kar hassaau kisko,

mere dil mein nahi hai gam kisi ka,
yakin ye duniya mein dilaau kisko,

zindgi na kar saki wafa jab raj,
siva dard ke gale lagaau kisko,

dastan-aye-ishq main sunaau kisko,
nishaniya mohabbat ki dikhaau kisko.

All Time's Favourite Posts