wo kuch pallon ka hi saath main bhula na paya,
apne man ke aaine se unka chehra mita na paya,
maine wada kiya tha har lamha muskarane ka,
iss liye unki yaad mein aanhsoo bhi baha na paya,
dil dhakta hai mera ab bhi unke hi naam ke saath,
ab tak is nadan dil ko main samjha na paya,
maksad-e-zindagi meri ban gayi hai wo,
wo chale gaye magar ye baat unhein bata na paya,
ussi mord pe tanha khada hai “raaj” intezaar mein,
jis mord pe kabhi main aarzu-e-dil dikha na paya.

No comments:
Post a Comment