tanhayiaan jab aawaaz lagaati hogi,
yaad usse bhi meri sataati hogi,
meri nazron se girte aanshu,
woh bhi palkein bhingaati hogi,
aankhein gar in honton pe sazzti,
uski hasshi shor machati hogi,
andhera bhar meri rahon me,
apne roshan diye bujhati hogi,
bana bebasi ko kismat mera,
lakeerein apni bhi mitaati hogi,
taras raha main ek deedar ko,
wo bhi nazroon ko bichhati hogi,
marta hoon main pal pal jee kar,
ruh wo bhi khud ki daffnati hogi,
mere arrman kisi keemat ki nahi,
tamaam aarzoo wo bhi jalati hogi,
royun chahe kar ke saccha pyar,
bewafa mujhe sabko batati hogi,
ab mushkil ho raha jaagna mera,
neend ki aagosh me wo jati hogi..!!
yaad usse bhi meri sataati hogi,
meri nazron se girte aanshu,
woh bhi palkein bhingaati hogi,
aankhein gar in honton pe sazzti,
uski hasshi shor machati hogi,
andhera bhar meri rahon me,
apne roshan diye bujhati hogi,
bana bebasi ko kismat mera,
lakeerein apni bhi mitaati hogi,
taras raha main ek deedar ko,
wo bhi nazroon ko bichhati hogi,
marta hoon main pal pal jee kar,
ruh wo bhi khud ki daffnati hogi,
mere arrman kisi keemat ki nahi,
tamaam aarzoo wo bhi jalati hogi,
royun chahe kar ke saccha pyar,
bewafa mujhe sabko batati hogi,
ab mushkil ho raha jaagna mera,
neend ki aagosh me wo jati hogi..!!
No comments:
Post a Comment