hum hass ke apna zakhm dekhte rahe

har kadam par hum sab ka hunar dekhte rahe,
ghum ka naya ek sham-o-subah dekhte rahe,

teer-e-nazar ki un ke kaatil andaaz na puchhiye,
hum hass ke apna zakhm-e-jigar dekhte rahe,

us mohabbat ke ghum ki baat hi kuch juda thi,
unka hum apne dil pe parda asar dekhte rahe,

phir kabhi wapas nahi aaya baharon ka wo kafila,
hum tanhai mein ujrda apna ghar dekhte rahe,

abhi yaad hai aakhri mulaqaat ka andaaz unka,
hum unki wo meri betaab nazar dekhte rahe.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts