jahan parde hai hum besudh ye teri mehfil hai saakhi

jahan parde hai hum besudh ye teri mehfil hai saakhi,
nishaan jism pe hai par zikhami to mera dil hai saakhi.

tu dekh kar chali jaati hai jisse kafan oodhe hue,
es dhokhe ka gawaah woh tera hi pyar hai saakhi.

de kar zakham apno ko tum apni zindgi phir saja lete ho,
tannha ek zindgi ko to dard hi dard haasil hai saakhi.

kya hua hai asar meri is zindgi me teri bewafai ka,
ye to har pal chalakti meri bebas aankho se jahir hai saakhi.

beech samandar me tanha chhordne waale, jara murd kar to dekh,
jahan zindagi bhar ke saath ka wada kiya, pass hi wahi sahil hai saakhi.

ye aanshu, ye dard, aur ye zakham isi duniya ke tohffe hai mujhe,
mere dil hi me jo toot gaye un armaano ka tu hi katil hai saakhi.

kyun dard nahi hota khud ko zakham de kar ye duniya puchhti hai,
kyun ki aaj bhi mere behte aanshuo me tu shamil hai saakhi.

jeete jee mere pyar ka kabhi tujhe ehsaas hi na hua,
phir aaj tu geeli palkein liye mere janaze me kyun shamil hai saakhi.

kya hua jo ye zindagi mera saath kuch pal aur na de paayi,
baad zindagi ke meri rooh ki bhi tu hi manzil hai saakhi…

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts