aisa kabi na karna

tum rooth jao mujh se,
aisa kabi na karna,
main ek nazar ko tarsoon,
aisa kabi na karna....

main puch puch haarun,
so so sawal karon,
tum kuch jawab na do,
aisa kabi na karna.....

mujh se hi mil ke hansna,.
mujh se hi mil ke rona,
mujh se bichaar kar jee lo,
aisa kabi na karna,

tum chand ban kar rehna,
hum dehkte raheinge tumko,
tum kisi roz na niklo,
aisa kabi na karna,

tum chale jaaoge to,
dehkenge tumhara raashta,
tum loat kar na aaoo,
aisa kabi na karna…...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts