aakhir kya tha rishta usse mera

aakhir kya tha rishta usse mera, 
mujhe maalum nahi, mujhe maalum nahi...

dil kehta hai, wo teri mohabbat hai,
dimaag kehta hai wo kisi aur ki aamanat hai ,
saanse kehtin hain wo teri zindagi hai,
par chalakate aanshu kehte hain,
tera sab kuch uska hai par wo teri nahi.

aakhir kya tha rishta usse mera, 

mujhe maalum nahi, mujhe maalum nahi...

yaadein kehti hain woh teri jeene ka sahara hai,
tannhayaan kehtin hai wo tera aapnapann hai,
dard kehta hai to teri khushi hai,
par haathon ki lakeerein kehtin hain,
wo teri ho ker bhi kabhi teri nahi.
aakhir kya tha rishta usse mera, 
mujhe maalum nahi, mujhe maalum nahi...

andheera kehta hai, wo teri har raat ki subah hai,
khaawab kehta hai, wo sab tere haseen pal hain,
aada kehti hai wo tera deewanapan hai,
par kadmon ki aahat kehti hai,
wo teri raah hai, par tera mukkaam nahi .
aakhir kya tha rishta usse mera, 
mujhe maalum nahi, mujhe maalum nahi...

waqt kehata hai, wo teri aadhuri kahani hai,
lammhein kehte hain, wo tere liye ek pahelli hai,
jubbaan kehti hai wo sirf teri chaahat hai,
par khudaa kehta hai, 
raaj wo pyar to hai teri, par wo kabhi teri thi hi nahi.aakhir kya tha rishta usse mera, 
mujhe maalum nahi, mujhe maalum nahi...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts