yeh bhi sach hai yeh rishta ab chal nahi sakta

jab ki thi mohabbat to batlaya tha sabne,
sambhal kar khelna log haar jaate hain,

par mera kabhi na ittefaak tha is baat se,
socha jo dil se khelte hain woh jeet jaate hain.

magar ek khwaab reh gaya hai aaj barson ke baad,
ki chain aur sukoon ab haasil nahi hota,

usse nahi pasand hai meri koi bhi baat,
kehti hai kaash main uski zindagi main shaamil nahi hota.

har ek baat par lardte hain hum aur
phir woh rote huye so jaati hai.

tab main kosta hoon khud ko
aur raatein usse dekh kar gujar jaati hai,

main wafa karta hoon usse yakeen nahi is baat ka,
zindagi ab aise ek mord par nazar aati hai,

ki hain raaste bahut jahan magar
woh sadak nahi jo manzil ko jaati hai.

meri yeh takleef hai ki main uske bin reh nahi sakta,
magar yeh bhi sach hai yeh rishta ab chal nahi sakta,

phir bhi log kehte hai yeh kyun
ki woh mere bin main usse alag reh nahi sakta. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts