mohabbat ne teri kiya iss kadar be-khabar

mohabbat ne teri kiya iss kadar be-khabar mujhe,
na aa raha kuch bhi tere siwaa ab nazar mujhe,

khada hun wahin main jahaan par hum tum bichard gaye,
bichard kar na koi raas aayi sanam reh-gujar mujhe,

na the shaayad wo kabhi hamsafar mere,
jalaate rahe yeh mohabbat-ke-safar mujhe,

na ab door reh kar jiyaa jaay ek pal bhi bin tere,
sajaa kar ghazal.. rakhu labbo par yun umar bhar tujhe,

nigaaho me jab neend raatein pirone lage,
bitha kar rakhta hu khwaabon ki tarha hadd-e-nazar tujhe,

kiya hai ishq tujhse jo yeh duniyaa ki bheed me,
hai dhundhte sabhi dar-badar mujhe,

bahaarein mere aangan me hi ho jati hai zakhaami,
diye zindagi ne the gullestaan-e-gham iss kadar mujhe..

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts