wo khoob sajjte hain, sawarte hain

khoob sajjte hain, sawarte hain,
jab kabhi wo apne ghar se nikalte hain,
saari duniya se wo galle laga ker milte hain,
sirf mujhse millne se wo katarte hain,


yaadein unki mujhe bahut satati hai,
dil ke aarmaan tardap tardap ke roz marte hain,

wo bhool chuke hain mujhko to bhool jaane do,
aakhir matlabi log hi to badalte hain,

aayana ek rakkh liya ussne,
roz naye naye chahare wo badalte hain,
agar sacchi hoti unki mohabbat to baat bhi bannti,
sirf hone ka dam jo wo bharte hain,

jab bhi daur ye badalta hai,
hum girte hain aur khud hi samhalte hain,
naaz mujhko hai apne wafa pe yaaron,
jispe hum aaj bhi jaan nishaar kerte hain,

khus-mizaaji mizaaj tha mera,
isleye wo log mujhse jalte hain,
maine to unme hi dekh le saari duniya,
log kis tarah ghar naya badalte hain...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts