kahani us insaan ki jo sabka tha

ye wo kahani hai jo, kabhi naa khatam hone ke liye shuru huyi,
ye wo dastaan hai jo, darde ehsaas ki shihaayi se likhi gayi,

ye wo hakikat hain jo, kabhi hakikat ban naa payi,
ye wo raj ka dil hai jo, sunkar bhi ansuni kar di gayi,

kahani us insaan ki jo sabka tha,
kahani us vyakti ki jiska koi sath nahi,

kahani uski, jiski koi kahani nahi,
kahani uski, jiski koi bachi nishani nahi,

pyaar karna jiska imman tha,
gayiro ke liye jo har waqt pareshan tha,
shikan mathe par dusro ki jiski hoti thi,
zindagi dujo ke liye jisne kho di thi,

hakikat jo kabhi ban naa paya,
khilne se pahle hi murjhaya,
jiya jo sada auro ke liye,
zarurat pardi to mar naa paya,

khuda ke pas jo dua bankar ke jata tha,
gham ke badle jo khushiyan le ata tha,

batta jahan me itna ki kuch pas naa bacha,
dard, gam, tanhai ke siva kuch khas naa bacha,

gayiro ke liye khushiyon ki jo karta tha dua,
khuda bhi har waqt jiski sunta tha iltiza,
wafa karne ki jisko har waqt mili saza,
kahani us insaan ki jab nam thi har fizza,

tanhaiyon se aksar jo baatein kiya karta tha,
khushiyon ko din jo gamo ko raate diya karta tha,
bayigano ko jo ek, naya rishta diya karta tha,
hassti aankho se kabhi-kabhi, jo barsate kiya karta tha,

tanhaiyan jiski baahon me angdaayi liya karti thi,
ghamo se jiske liye, khushiyan lardayi kiya karti thi,
wo kesa tha, kesa naa tha, wo jaisa bhi tha kya kahein,
har dil me uske naam ki ek yaad joya karti thi...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts