ek din meri wafa tujhe bewafai ka sila degi

agar mohabbat meri sachi hai to ek din zaroor mila degi,
agar zidd meri pakki hai to mere khuda aasman ko bhi hila degi,

na inkaar kar sakta hai koi meri wafaon se, mujhe yakeen hai,
par tum sambhalna ek din meri wafa tujhe bewafai ka sila degi,

yeh baat sach hai ke tumne humse pyaar kiya par dusare hi pal bhula diya,
mera pyaar itna aashan na tha na socha tha ke teri mohabbat daga degi,

na bhula sakunga woh mohabbat na woh bewafai, jo tu ne ki,
sazza iss se barh ke kya duga ke umar bhar meri mohabbat tujhe dua degi,

agar dum hai meri wafa-e-mahobbat me to woh ek din, aayegi jaroor
jab meri yaad me to tardpegi par tab ’saugat tujhe apni mohabbat na degi..

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts