tanhayioon se chal kar tanhayi me kho jaate hain,
na jaane kyun mere kadam itne majboor ho jaate hain,
bhula kar usse phir ussi ko yaad karte hain,
mere zakhm bhi jaise uske mohtaaj ho jaate hain,
sookh kar kayi baar phir behne lagte hain,
ye aanshu bhi jaise uske deedar ko tarash jaate hain,
khamosh ho kar bhi zubaan par chale aate hain,
ye laffz bhi jaise ussi se kuch kehna chahte hain,
dard ko aksar baandha hai maine muskurahat me,
shayad bebas ho kar hi ye ehsaas,
mere naghmon me utar jaate hain...!!

No comments:
Post a Comment