apne hi aashkon me beh gaya hoon

yun to apne hi aashkon me beh gaya hoon,
phir bhi yaro tanha – tanha sa reh gaya hoon,

ban gaya mohtazz dil unki nazar ka,
main fakeer -e- yaar bann ke reh gaya hoon,

zindagi ki shakal me hoon ek bejaan,
toota dil hai, jaan fanah, main lut gaya hoon,

hona to wahi hai jo wo chahegi,
main to bus kirdar bann ke reh gaya hoon,

zakhami to dono hue baraber the,
wo chale gaye aur main tardapta reh gaya hoon,

roo pardata hoon bus jara si baat per,
shayad main thorda sa naadaan reh gaya hoon,

ishq teri dooriyaa … kya kehna!!
pas aake bhi tauba kar ke reh gaya hoon,

ek daur tha main bhi barda khuddar tha,
per kya karun majboor bannke reh gaya hoon,

ye haal hai mera naakam ho ker ishq me,
jaise koi maat kha ker reh gaya hoon...!!



hara bhi to apne dil se,
apne hi pyar me fass ker reh gaya hoon .

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts