main doob raha hoon abhi doba to nahi hoon

har zulam tera yaad hai, bhoola to nahi hoon,
aye waada faramosh, main tujh sa to nahi hoon.

aye dost mujhe kyu dekhta rehta hai zamana,
deewana saahi, koi tamasha to nahi hoon.

chup chap saha sara dard jo khaye tere haathon,
majboor sahi, waqt se hara to nahi hoon,

dil torda hai apno ne to shikwa na karein ge,
wo bhool gaye mujhko, main bhola to nahi hoon,

sahil pe kharde hoker mujhe pathar to mat maro,
main doob raha hoon, abhi doba to nahi hoon,
main mar raha hoon, abhi mara to nahi hoon...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts