ab laut aa bas

chaah thi ki jeewan bhar ka sang ho,
har kadam har raah me prem ka raang ho,
pranay, anubhuti ki ki uttkantha humaare hriday me,
sawar si jaaye tu, nikhar si jaaye tu,
bas har subah, har saanjh mujh me,
tere sparse ki tarang ho…..

tere sang jeene ki khaawish bani thi,
ki jeene ki chaah bhi na isse bardi thi,
chaah thi ki tere har prasaang me main samaahit rahun,
ghul jaaun tere jeewan me kuch iss tarah,
ki teri har swash me sugandh band prawahit rahun….

par jaane kyu na rasha ye pyar humein,
kyu na kisi duaa ne bhi pyar barsaaya,
kyu rah gaye wo praan adhur,
tha jinme sampurn jeewan samaya….

kaant me aawarudha, ab sahami si swash hai,
swash nikalne ko aatur, nayan pratiksha me kaatar hai,
kintu hriday me ab na koi aashakti na koi aawlaambh hai,
tu nahi to lagta hai jaise jeewan hi uplambha hai....

laut aaa.. laut aa ki jee na main paaunga,
jee bhi gaya to jaane kitne tukade me mar jaaunga,

parbat jaisi ye zindagi khadi hai,
zindagi ki raah kathin bardi hai,
hawas bhari nazar chaaro taraf khadi hai,
tu sang hai to lagta nahi kuch kammi hai,
jeewan kalp vriksha har chhan me sudha ki see nahi hai,

aanghar me bhi prem aabha ka garmaahat lage,
aaki aansru me bhi sheetal leharo ka thandhak lage,

laut aa, ab laut aa bas ye mere dard ki parinitee hai,
laut aa bas tere sang hi mere jeewan ki jeet hai...

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts