ek adhuri aas me ek adhuri talaash liye tujhe dhundhta hoon

ishq ki raah me kisi ke chalne ke nishan dhundhta hoon,
main paagal hoon jo har pal har ghadi tera naam dhundhta hoon,
waise toh mujhe mehfilo me koi kaam nahi hota,
par sunna hai iss liye waha bhi tujhe sare-aam dhundhta hoon,

mujhe pyar hai apni mohabbat pe,
gurur hai apni chhahat pe,
ibbadat karta hoon apni aashiki ka,
mujhe sukoon milta hai teri khushi se,
chain aata hai teri hassi se,
deewana hai mera dil teri pyar ka,
sunna hai tujhe shamma jalana acha lagta hai,
issi ishq ki tapish me jalne ko main parwaana bana ghumta hoon,

dekhte hain zindagi kya mohabbat pe yakeen rakhti hai,
kya meri zindagi uski hassi se bhi sasti hai?
kyu har baar mohabbat ko rushwa hona hoga?
kyu humein apni ek tarfa mohabbat ko jurm ki tarah dhona hoga?

tum humein naa milo, koi shikwa na hoga humein,
par jaate jaate kuch to kehna hoga tumhein,
mujhe yun jillat ki maut nahi marna hai,
issi khatir apni mohabbat ko chupaye baitha hoon,
tera naam naa rushwa ho isi khaatir,

tujhe sabse chupaye rakha hoon,

waise meri zindagi teri ibaadat ke liye kaafi nahi,
issi khaatir har khuda ke darbaar me tujhe dhundhta phirta hoon,
ek adhuri aas me ek adhuri talaash liye tujhe dhundhta phirta hoon

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts