ab jeena muhaal rehta hai

mujhko to bas itna malal rehta hai,
aadmi kyun bhala pareeshan haal rehta hai,

kyun main deta hoon tujhpe itni tabajjoh yeh bata,
har ghadi bas tera fikr-au-khayal rehta hai.

log deewane hain, aashiq hain, tere muntazir hain,
jab tak husn pe rang-o-jamal rehta hai.

koi to ghum sataa raha hai usse,
aaj kal woh bada udaas – udaas rehta hai.

teri aagosh mein hi milta hai sukoon mujhe,
tujhe na dekhoon to yeh dil behaal rehta hai.

yeh mayushi yeh tanhapan har ghadi bekarari,
ya yoon kahiye ke ab jeena muhaal rehta hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts