aao ki ab hum baith ker

aao ki ab hum baith ker, bekaar ki baatein na karein,
kya kinaaro me rakha hai, majhdaar ki baatein karein,

pyar ki baatein sabhi kerte hain, par nafrat hi faylaate rahte hain,
chalo ab andhera mita ker, hum ujaale ki baatein karein,

hain sabhi hossiyaar ab, koi na murakh raha ab,
aa gaya hai waqt ab to, ayaar ki baatein karein,

aaj pyar mohabbat ki fizaayein, bas kitaabon me hai chippi,
ab ye lagta hai ki sirf takraar ki baatein karein,

ek zindagi ki suraksha ban gayi thi jo kabhi,
hain munaasib to hum unhi sab sawalo ki baatein karein

phool paa ker phool sa, phool me bahut abhimaan hua,
gandhigiri ki baatein chord ker, ab talwaar ki baatein karein,

hum to pyaaso ke liye, paani liye daude bahut,
kya mila humko ki, kyu satkaar ki baatein karein,

dilzalle ko dawa, bharte rahe har ghaw,
ab lagta hai ki hum angaaron ki baaatein karein

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts