kabhi aana dard se saje mere gharonde me

kabhi aana dard se saje mere gharonde me,
har pal tardpaati iss zindagi ki daastaan sunaunga main,

ye mehfil hai aanshuo ki, muskura na sakoge tum,
dard ke hi jaam honge, saari mehfil ko rulaunga main,

abhi mere marne ki dua na karna mere humsafar,
abhi toh in saansho ko aur bhi kuch din tardpaunga main,

dil ke adhoore armano ko kar doonga hawaale aag ke,
aur uss armaano ki aag me khud hi ko jalaunga main,

ab kahan yaad aata hoon tumhein main apno ki tarah,
bhooli huyi si ek yaad ban kar in fizaaon me kho jaaunga main,

nafrat ke saaye me ab kahan char kandhe naseeb honge mujhe,
maut ke intezaar me zinda hi khud ko jalaunga main,

na pyar ki aadat hai mujhe, na kisi ke saath ki ummid baaki koi,
shamshaan me bhi kisi tanha kone me apni chita khud jalaunga main,

baad marne ke bhi aanshuo se geeli hi rahegi mitti meri samadhi ki,
jeete jee jise bhula na saka, usse marne ke baad bhi kaise bhula paunga main,

baki na rahi khwaish koi, tu jee bhar ke tardpa le mujhe,
iss maut ke baad phir laut kar tere dar par kabhi na aaunga main…

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts