dil ki chahat kahan puri hoti hai

dil ki chahat kahan puri hoti hai,
sapno ki baatein kahan sach hoti hai? 

kehne ko keh jaate hain log apna kisiko,
kya jaane iski kya wajah hoti hai? 

karke rushwa pyar ko duniya mein,
log pyar ko bewafa keh jaate hain. 

sunne ki chahat dikhate hai dil ka haal,
shayad unke hasne ki yehi wajah hoti hai. 

kaha tha unhone mujhe apna ek roz,
yeh dillagi ki chahat humein aaj bhi hoti hai.

hum yaad tumhein aaj bhi karte hain subah-aur-shaam

kya-kya khayaal jee se guzarte hain subah-aur-shaam,
zakhm naye dil mein ubharte hain subah-aur-shaam. 

sadiyaan guzar gayi hai tumhein bewafaa hue,
hum yaad tumhein aaj bhi karte hain subah-aur-shaam. 

reh-reh ke chaunk-chaunk ke main neend se jaagun,
ban-ban ke mere sapne bikharte hain subah-aur-shaam. 

jab-jab teri yaadon ki ghataa dil pe chhaayi hai,
baadal meri aankhon ke baraste hain subah-aur-shaam. 

pal-pal main dekhta hoon uth ke raahguzar ko,
naina teri dedaar ko taraste hain subah-aur-shaam. 

mat poochiye kya aalam-e-khwaab aur ummeed hai,
angaar se seene mein dehakte hain subah-aur-shaam. 

aakhri baar jab chhua tha tere phoolon se badan ko,
ke haath ab bhi mehakte hain mere subah-aur-shaam. 

roz hi jaagte hain jeetne ki khawayish le kar

gumsum ho jaate hain, baadal roz garaz kar,
hum bhi so jaate hain, unki ek jhalak ko taras kar, 

woh kisi aur ke mehboob hain log kahte hain,
lahoo se naam likh, hum mohabbat parakhte hain, 

roz hi jaagte hain, jeetne ki khawayish le kar,
aur roz soo jaate hain, apni kismat se haar kar.

iski bhi koi wajah to nahi

tujh ko chahun.. koi wajah nahi,
bhool jaun tujhko, iski bhi koi wajah to nahi. 

jeeyun hans ke.. koi wajah nahi,
bahaun aanshu, iski bhi koi wajah to nahi. 

pyar to tha kuch humare beech.. be-wajaha nahi,
jo doori hai aaj darmiya humare, iski bhi to wajha nahi. 

kashmakash jo hai tere chehre pe.. usko koi wajah nahi,
kayam rahe dosti humari, iski bhi koi wajah to nahi, 

mile hum phir kabhi.. koi wajah nahi,
umeed rahe baaki milan ki, iski bhi koi wajah to nahi .

woh bhi kya din the

woh bhi kya din the.. sotey the tere aachal ke taley,
aaj kafan ko tarsti padi hai laash meri tere dar pe, 

woh bhi kya din the.. jab milke phir milne ko tarste the,
aaj beet gaya zamana jhalak teri dekhe hue, 

woh bhi kya din the jab.. soti raato mein jaga kiye the,
aaj sone ko tarsta hai dil ki dekhun tujhe khawab mein, 

woh bhi kya din the.. hansi teri misri ghol jaati thi,
aaj aawaz sune bhi teri taraste baithe hain, 

woh bhi kaya din the.. jab hum sang muskurate the,
aaj rone ko bhi kandha dhundhte hain. 

mujhe to khud se mile zamana hua

dekhe tumein ek zamana hua,
kaisi ho tum..
yeh puuche zamana hua.

kya yaad aata hoon main,
yeh puche ek zamana hua,
sune teri hansi ek zaman hua.

khayalon main mere basne wali,
tujhko apna kahe ek zamana hua.

naa bataya gaya tujhse apna dukh,
hanse hue mujhe ek zamana hua.

roti aankhon mein ab ek hai suna-pan,
ashk bahaye mujhe ek zamana hua.

khali bahene sard sanase liye baitha hoon,
kisi garmi ka ehsas hue zamana hua,

kisi ki kya kahun
mujhe to khud se mile zamana hua. 

Happy Birthday Baba

chalo milakar andhere mein ek deep to jalaate hain,
apne papa ke khoye hue, sapane ko lautaate hain,

apni tankhwaa ki gasti mein, khushiyaan dubo di,
apni saari khwaahishon ki, tithi hi badal di,

chalo apni safalta ke, geet gungunaate hain
paapa ke janmadin ki khushiyaan manaate hain,

apane waqt ko bator uphaar rup mein laaya hai,
papa ke dhalte huye kandhe ko, 
nayi ummeedon se sajaaya hai,

papa tum jeevan ka saaraansh ho,
papa tum hi saare savaal ka ant hai,

thehar jaao.. aapke bujhate hue aankhon mein
naya khwaab to basa doon,
aapke janmadin ka paigaam
saare shehar ko bata doon.


Happy Birthday Baba!

God is the word, which inspires us all

an invisible force for some,
an inspiration for some,
an imagination for some,
a belief for some.

but whatever it is,
God is the word,
which inspires us all,
to do the unthinkable.

no one cares you believe or not,
but all that matters,
is what you do God may be a fence,
to warn us of our limits,
or God may be a weapon,
by which we harass other humans.

but my friend whatever it is,
true or false no one knows.

but all I know is one little thing,
you be true to your own heart,
and that is god and that is divine.

mohabbat hi mera humraah aur meri tanhai hai

mohabbat hi mera humraah aur meri tanhai hai,
yehi par kabhi hansi to kabhi ruswaai hai,
issi se hai waade saare
aur issi mein chupi kisi ki bewafaai hai. 

mohabbat hi hai woh jab nighahon mein koi sama jaaye,
zindagi mohabbat hoti nahi kabhi,
haan mohabbat zindagi ban jaati hai,

mohabbat mein sab majboor hote hain, 
kabhi paas to kabhi door hote hain,
sab kho jaate hain iss ishq mein
saath jab woh yaaadein hoti hain,
shayad woh mohabbat kehlaati hai. 

zindagi mohabbat hoti nahin kabhi,
haan mohabbat zindagi ban jaati hai,
mohabbat ki raah mein chalte hue,
zanjeeron ki awaaz bhi payalon ki jhankaar si lagti hai. 

har baar dar satata hai ki koi sunn na le mujhe,
phir bhi mujhe paas tumhare le aati hai,
zindagi mohabbat hoti nahi kabhi,
haan mohabbat zindagi ban jaati hai. 

kuch zimedariya kuch yaadein

zindgi se bezaar
khud se ab ho chuka hoon main, 

jeene ki koi tamana nahi
par phir jeeye jaa raha 
hoon main,  

kuch zimedariya kuch yaadein
jinke liye jeeye jaa raha 
hoon main, 

jisko bhi mana apna
daga ussi ne diya, 

dil to mera leliya
apna bhi wapas maang liya, 

dekar yaadon ka saath,
aur na marne ki kasam, 

jeene ko majboor kiya,
jaane kyon tujhpe aitbaar kiya, 
aur kiye jaa raha 
hoon main.

bas na mili to teri chahatein

kitne dard hain iss dil mein,
yun to mila sab kuch,
bas na mili to teri chahatein. 

baatein kuch ankahi si reh gayi,
hasratein kuch adoori si reh gayi, 

kitne khwab the iss dil mein,
na mili to haqikatein, 

yun to mila sab kuch,
bas na mili to teri chahatein, 

duniya ki bheed mein kho gaye tum,
kyun mujhe tanha chord gaye tum, 

kitni khwaishein thi iss dil mein,
na mili to manzilien, 

yun to mila sab kuch,
bas na mili to teri chahtein, 

mohabbat ka jaise ek dariya tha,
toofaan ek lehar se jaise utha tha, 

kitne armaan the iss dil mein,
na mili to khushnaseebiyein, 

yun to mila sab kuch,
bas na mili to teri chahatein.

an emotion so strong so deep

an emotion so strong,
so deep and so hard,

tears trickle down the eyes,
heaviness of feelings,

capture the mind loneliness, fear,
losing of hope, choosing the wrong,

and doing the bad
what else can sadness give,

what else can sadness take,
these are things,

which make you think,
am I wrong or am I judged wrong,

feelings like these, so bad, so creep,
rule our life and live within,

learn to know the feelings of heart,
and live your life like a horse in the war. 

aisi bhi hoti hai khamoshiyaan

dhadkane jab badhne lage,
aur saansein bhi shor karne lage,
nazrein jab kisi ki nazaron mein rukne lage,
sare-alam ki hulchul jab thamne lage,
aisi bhi hoti hai khamoshiyaan. 

dil mein jab bechaini badhne lage,
bin kahe sab kuch samajh aane lage,
saari duniya ka hosh jab khone lage,
aisi bhi hoti hai khamoshiyaan.

koi apna jab khud se door hone lage,
kehne ko jab koi alfaaz bhi na rahein,
kuch hone ki umeed bhi khone lage,
aisi bhi hoti hai khamoshiyaan.

kisi ke sawaal mein har jawaab nagawaar hone lage
band aankhon se bhi tasveer dihayi dene lage
nazrein jab ahista ahista se nam si hone lagein
aisi bhi hoti hain khamoshiyaan.

koi kisi ke liye hai jeeta,
par kisi ko iski khabar bhi nahin,
ban ke hawa koi saansein hai deta,
aur kisi ko iski kadar bhi nahin. 

koi sajde lakh karke
kisi ke liye dua hai maangta,
aur kisi par asar bhi nahin,
aisi bhi hoti hai khamoshiyaan.

chahkar bhi keh nahin payein,
aur zara sa sabar bhi nahin,
bas samajhne ko hi reh jaaye,
aur kehne ko kuch bhi nahin,
aisi bhi hoti hai khamoshiyaan.

mera yeh kya jeewan hai, akelapan ek humsafar hai

mera yeh kya jeewan hai,
akelapan ek humsafar hai,

khoj hai mera jaari abhi,
mil jaaye ek dost agar…

dhoond liya rasta rasta,
gaya main har kis ke paas,

par laut aaya ek jawaab lekar,
ki dost nahi banayenge hum.

pata nahi kya hua sabko,
ya phir galthi mujh mein hai,

sochta hoon bas yehi,
par koi mujhe milta nahi. 

rehta hoon main unke paas,
karta hoon unki har madadh,

raktha hoon khayal unka,
kami nahi chhod tha kuch,

par jaane kya hua sabko,
ya phir accha nahi lagta main unko,

mere chehre se log nafrat karte hain,
ya mere pehchaan se,

jaanta nahi main abhi kuch,
dhoond raha hoon phir bhi kuch,

mil jaaye ek dost mujhe,
to ho jaun main bhi khush.

enjoy the child in you

a time of innocence,
knowing nothing but play,
so happy iss the face,
so pleasant are the days.

running here and running there,
rolling here and playing there,
eating sleeping, laughing crying,
life goes on, with no complaints to say.

hope we could,
live the moment forever,
but destiny always,
does not stay that way.

so oh my friend, go back in time,
when you can, out to childhood,
keep your work, limited and complete,
so you can, enjoy the child in you.

ek pal mein de diye kya kya ilzaam apne

ek pal mein de diye, kya kya ilzaam apne,
khun-e-dil ankhon se tapka, na dekha apne.

meri palko ki mandaro pe, koi ronak hi nahi,
dekh lo ashko ka chirag, na dekha apne.

hai shakk se bhara charo taraf samundar hi samundar,
jo umeed se badhaya haath, na thama apne.

koi akar mujhe le jaaye door kahin,
kyun roz dua mein khuda se, yehi manga apne?

nahi jaati mere badan se apki pyar ki khushbu,
mere khawabon ki basti ko, jo yun sajaya apne.

ehlaad-e-wafa ko apni main kaise bayan karu,
haan! chala aunga main mar ke bhi, jo kabhi pukara apne.

meri himmat hi na hui ke paas bitha ke main puchhun,
kyun tardpa ke mujhko, khud ko bhi tardpaya apne?

mana ke kuch pata nahi, manzil hai ab kidhar,
jo bichhde hain woh milenge, yeh mana hai apne.

wapas palat ke ayega, gaya pal woh ek din,
apne humsafar ki aas mein, diya jo intezaar apne…

ban megh kisi din anna tum

mere sukhe jeevan mein ban megh kisi din aana tum,
banjar se iss uppvan mein aa jee bhar jal barsana tum, 

main rishto ke kis bandhan mein fassa huwa hoon,
dhhart’rastra si zakkdan mein kassa huwa hoon,

anne se pahle roz ki tarah, bas payal ko chhankana tum,
ban megh kisi din aana tum. 

bhid bhari iss duniya mein kab jaane chhuta sath tumhara,
mujhko khawabon mein dikhta hai, nimantran deta hath tumhara, 

mar jaun kisi din intezaar mein tumhare to aanshu na bahana tum,
ban megh kisi din anna tum. 

neeersta ke es pal mein ban madhumas tum aa jaao,
na dikhe tum bin koi aur mere chahun aur tum chaa jaao, 

dhool chadi hai yadon pe, jara aanchal to lahrana tum,
ban megh kisi din anna tum, 
ban megh kisi din anna tum

woh baatein yaad aati hain

tumhari woh mohabbatein, tumhari woh chahatein yaad aati hain,
tumhari woh waadein, tumhari woh kasmein yaad aati hain, 

main jab bhi dekhta hoon tanhai mein tumhari tasveerein,
tasweeron mein tumhari adaein yaad aati hain, 

tum jo kerti thi akser wafa aur pyaar ki baatein,
tumhara woh ahad-e-wafa aur woh baatein yaad aati hain, 

tumhara woh mere bagal mein baith kar humein baar baar dekhna,
tumhara woh chhip chhip kar dekhna aur woh ankhein yaad aati hain, 

tumhara woh scooty par mere piche baith mere kahdhe ko pakadna,
ab jab bhi scooty par nikalta hoon to woh rahein yaad aati hain, 

kabhi mujhse bhi pucho iss naye mohabbat ke andaaz,
jisse iss mohabat ki har woh lamhein yaad aati hain.

before love died

we walked in fields of golden yellow
before our love was dead,
we waded over the flowing streams
and crossed the bridge of idle dreams.
I believed those words you said
before our love was dead.

we sat beneath the gulmohar-tree bough
before sweet love was done,
we sailed upon the ocean blue
with fun and laughter all day through.
joy was in the setting sun
before romance was done.

but now that you have gone away
I cannot face another day,
the blues I sing in dark despair
I look and you are never there.
without your kiss I’ll have to stay
forever under skies of grey.

koi khawab in ankho mein sajaya hi nahi

koi khawab in ankho mein sajaya hi nahi,
humare dil ki gehrai ko koi samajh paya hi nahi,

kisi ko humari kami mehsoos ho,
khuda ne humein aisa banaya hi nahi.

yaad nahi kab muskaraya tha main

yaad nahi mujhko kab muskaraya tha main,
ke iss jahan mein kitni thokar khaya tha main,
bas yoon hi chalta raha kha-kha ke thokare,
ke jaise ghum ke waaste duniya mein aaya tha main.

jab bhi dekhta hoon andhere nazar karte hain,
zakam itne gahre hain har pal yeh asar karte hain,
koi saath deta duniya mein to baat hi aur thi,
ki bas intezaar mout ka saamo sahar karte hain.

tumhara naam likhne ki ijaazat chhin gaye jab se

tumhara naam likhne ki ijaazat chhin gaye jab se,
koi lafaz likhta hoon to ankhein bheeg jaati hai.

tumhari yaadon ki khushbu kirano se raks karti hai,
tere ghum mein sulagta hoon to ankhien bheeg jaati hai.

na jaane ho gaya hoon iss kadar hatash main kab se,
kisi se baat karta hoon to aankhein bheeg jaati hai.

main sara din bahut mashruf rehta hoon magar jyun hi,
kadam chukhat pe rakhta hoon to ankhein bheeg jaati hai.

teri galion se ab mera taluk wajeeb sa hai,
magar jab bhi nikalta hoon aankhein bheeg jaati hai.

aaj phir dil hai kuch udaas udaas

dard apnata hai paraaye kaun,
kaun sunnta hai aur sunaaye kaun? 

kaun doharaye woh puraani baat,
gham abhi sooya hai, jagaaye kaun? 

woh jo apne hain, kya woh apne hain,
kaun dukh jhele, aazamaaye kaun? 

ab sukun hai to bhulane mein hai,
lekin us shakhs ko bhulaaye kaun? 

aaj phir dil hai kuch udaas udaas,
dekhiye aaj yaad aaye kaun? 

zamana karta hai baatein main dil pe nahi leta

zamana karta hai baatein, main dil pe nahi leta,
uska ungli utha dena, mera dil thord deta hai. 

jaane kaisa safar hai yeh manjil-e-mohobaat ka,
jahan par dard bhi uska saath chord deta hai. 

main karta hoon kosish hasne ki,
magar yeh dekhna uska yaad se jord deta hai.

woh karti rehti hai fariyaadein mere marne ki,
apno ki dua ka baadal maut ko mordh deta hai. 

nahi bharta hai dil kyun uska mujhe tardpane se,
hevaan bhi dekh ke halaat sitaam chord deta hai. 

zamana karta hai baatein, main dil pe nahi leta,
uska ungli utha dena, mera dil thod deta hai. 

the search goes on to open the door

there is a lock on a door,
one very peculiar to me, 

no one has ever been able to open it,
never been able to find the right key,

there is thought to be some beauty inside,
something special for the one who lets it be,

yet the door remains mysterious,
to those who try to see,

it is said that the one who locked the door,
did so unintentionally,

I often try to look inside,
to gain some clarity,

once I thought the key was found,
one who tried very faithfully,

but the search goes on to open the door,
that will let my heart go free.

mujhe aaram karne do, mujhe abb mat jagaao tum

mujhe aaram karne do,
mujhe abb mat sataao tum, 
thakan sadiyon ki hai mujh ko,
mujhe abb mat jagaao tum.

meri khamosh aankhon se,
koi kissa na kehna tum, 
mere kahwbon ke sehra mein,
mujhe ab mat rulao tum. 

dukhon ki ek kahani thi,
ussi ka aakhri hissa,
bohat arrse se jaari tha,
usse ab mat dohraao tum. 

maire veeraan kamre mein,
teri tasveer abb bhi hai,
yeh abb kamre ka hissa hai,
isse abb mat hataao tum. 

mere jaane ki baaton par,
kabhi woh hanste rehte the,
mere jaane ki baaton par,
usse ab mat hansaao tum. 

tumhaari diary ke aakhri
panno mein main tha, 
panne yoon to na phado tum,
mujhe yoon na mitaao tum. 

kahin samandar, kahin sahil,
kabhi mitti, kabhi paani, 
mujhe jo cheezein bakhsin thi,
ussi se ghar banaao tum. 

wahin par hoon, main waisa hoon,
ab aaye ho to ruk jaana,
thakan ki dastaan apni,
mujhe abb mat sunaao tum. 

mujhe aram karne do,
mujhe ab maat jagaao tum.

ghazlein chura-churra ke mashhoor ho gaye

auron ki ghazle padh ke jo maghroor ho gaye,
woh panne shayari se bahut door ho gaye,

ustaad samajjhne lage woh apne aap ko,
ghazlein chura-churra ke,  jo mashhoor ho gaye,

ashaar khud ke likhe hue, to na the magar,
daad-e-sukhan mili to woh masroor ho gaye.

ek dafa maine uska haath jab apne haath mein liya

ek dafa maine uska haath jab
apne haath mein liya to woh muskara di,

usne kaha.. 
tumhara haath kitna garam hai,
aur garam haat wafa ki nishani hoti hai. 

main iss kadar khush hua ki... 
sab kuch bhool gaya,

magar aaj barso baad
mujhe iss baat ka ehsaas hua ki,
uska haat kitna thanda tha.

ek dooje se hum bichard gaye

ek dooje se hum bichard gaye,
hum tab se bilkul ujard gaye, 

ab jeewan hai soona soona sa,
ab yaadein roz satati hain,

ab saansein ruk ruk aati hain,
ab raat ko dair se sotein hain,

ab neend se uth uth roote hain,
par jazbat hai ab bhi laazmi ,

iss lamhein mein ashk bahaao mat,
tum dil ko aur jalaao mat, 

yeh zakhm-e-wafaa chup-chaap sahein,
aankhon se kahein.. aur khaamosh rahein,

ha.. ek dooje se hum bichard gaye,
hum tab se bilkul ujard gaye.  

unki yaad chupke se chali aayi hai

iss kadar humare har taraf tanhai hai,
ujaalo mein bhi andhero ki parchai hai,

yeh kya hua jo gir gaye palkon par ruke anshu,
shayad unki yaad chupke se chali aayi hai.

na main hans saka na main ro saka

na kisi ki aankh mein kho saka,
na koi bhi mera ho saka,

main hoon kafia jo bikhar gaya,
na ghazal mein koi piro saka,

mere ashq-e-gham to bahe magar,
main na dil kisi ka bhigo saka,

koi aankh gadi thi jheel si,
na main khud ko us mein dubo saka,

ab dil nahi hai yeh sang-e-dil,
koi gham na isko chubho saka,

jise baazuon pe naaz tha,
zulfon ka bhar na dho saka,

ashq-e-wafaaon ka kafila,
daagh-e-jafa ko na dho saka,

nagma-e-ishq bahut likhe,
koi beej-e-ishq na bo saka,

hua haal kuch aisa ki,
na main hans saka na main ro saka.

tanhai ke iss aalam mein ek tanha alfaaz yaad aaya

tanhai ke iss aalam mein ek tanha alfaaz yaad aaya,
us alfaaz ko dil ne ek saaz mein sajaaya, 

naa jaane phir bhi kyon uss raag ko maine adhoora paaya,
aur rukhe se uss lamhein mein khudko tannha paaya, 

dil mein pyaar ka ehsaas humne ek din paaya,
ikraar jab karna chaha to 
uski aankhon mein kisi aur ka naam paaya,

hataash iss dil ne phir ek alfaaz gun-gunaaya,
alfaaz ko isne ek naye saaz mein sajaaya, 

tanhai ko tab humne apna jeevan saathi banaya,
aur us saaz ko apne jeevan ka raag banaya.

sirf aaj ki raat hai mujhe apna bana kar sona

subah hote hi tere shehar se jana hai mujhe,
aaj ki raat zara mujhe mana kar sona.

koi na sunega mere baad dukh tumhare,
mujhe apna har dukh suna kar sona.

chale jayenge to roya karoge yaad kar ke,
sirf aaj ki raat hai, mujhe apna bana kar sona.

hum to toot ke chahte the tumhein,
tum ne humein kyun na chaha, yeh baat bata kar sona.

shayad mere aanshu tujhe khreed lein,
aaj mere aanshoun ki keemat laga kar sona.

kya hum mohabbat mein nakam the?

kar baithe hum mohabbat nadan the,
teri chanchal addao se pareshan the,

kitna muskil hota hai baat dil ki juban par lana,
iss baat se hum to anjaan the,

unke samne aate hi khamosi kuch iss kadar chaai,
jaise hum barso se bejubaan the,

par unka bhi iss kadar khamosh ho kar laut jana,
iss baat se bahut hum hairan the,
kya hum mohabbat mein nakam the?

ek pal bhi chain se guzra ho to kasam le lo

ek pal bhi chain se guzra ho to kasam le lo,
siwaye yaadon ke koi aur sahara ho to kasam le lo,

pehe to baat aur thi jo tum pe hakk jatate the,
ab khud par bhi koi hakk hamara ho to kasam le lo,

tum hi ne kaha tha ke tumhare labon par mera hi naam aaye,
uske baad jo liya ho naam kisi ka to kasam le lo.

juda hone ka andesha, juda hone se pehle tha

juda hone ka andesha, juda hone se pehle tha,
woh mujh se intehai khush, khafa hone se pehle the,

junoon ka daur guzra to muje bhi bhool baithe woh,
ebatat-e ishq tha lekin, juda hone se pehle tha,

main kaise soch sakta tha, mujhe woh chord jayege,
bahut hi wafadar woh, bewafa hone se pehle the.

jo na karna tha woh kiya usne

jaane phir kyun khud ko hi mujh se juda kiya usne,
jo na karna tha woh kiya usne,  jane kyun khafa kiya usne. 

yaad karne se bhi na yaad aaun, aise mujh ko bhula diya usne,
main to bas waqt ki zarorat hoon, mujh ko aakhir bata diya usne,

apne hathon se khud hi likh ke mera naam, 
jaane phir kyun mita diya usne.

jiss shaam baraste hain teri yaad ke badal

jiss shaam baraste hain teri yaad ke badal,
uss subah koi aam-e-khas ke tara nahi hota,

yun hi mere pehlu mein chala aata hai aksar,
woh dard jisse maine pukara nahi hota.

batao tumhein kaisa lagega?

ban jaon agar tumsa to tumhein kesa lagega,
har pal main rahoon tumse khafa, to tumhein kaisa lagega?

padate ho jo tum mujhe mantra-jaap ki tarha,
ho jaaon agar tumse khafa, to tumhein kaisa lagega?

tum pyar mein khud ko mitane par ho raazi,
ban jaaye pyar saza, to kaisa lagega?

khud se bhi jada yakeen ho tume kisi par,
woh shaks hi agar de daga, to kaisa lagega?

gumnaam hi rehne do mujhe

mangta hoon pyar tum se nafraat to naa do,
gar saath naa de saako to yeh gham-e-halat to naa do, 

tum mujh se pyar naa karo mujhe ghum nahi,
tum mere baare mein socho yeh koi kum nahi, 

main koi badnaseeb nahi.. mujhe barkat to na do,
gar pyaar na de sako to nafrat to na do. 

mujh par tum ehsaan karo, aise mere haalaat nahi,
par yeh to na kaho ki dil mein mere liye sawaalat nahi. 

apne nashe mein dooba ki yun ab awaz to na do,
inn toote hoye taaon ke be-aawaz saaz to na do. 

tum phoolon ke saaz na de sako to, kaanton ke malaal to na do,
veerano mein rota hoon yun hans-hans kar ab zaher to na do. 

tum soo jaao aur main raaton ko jaagta rahoon,
banwraa ban chand sitaron ke sang bhagta rahoon, 

har khushi ab tumhare liye ho, mujhe ab gham to na do,
main hoon aabad nahi barbaad, yeh bharam ab to na do. 

mujhe pyaar na de sake to aur nafrat to na do,
gumnaam hi rehne do badnaami ki sohraat to na do.

All Time's Favourite Posts