mann ke sapne, kitne sundar
raat mein bante, din mein mit-te,
raat mein sapne sundar dikhte,
din hote hi mit jaate hain,
jo parishram ko aadhar karega,
woh sapne sakaar karega,
raat mein bante, din mein mit-te,
raat mein sapne sundar dikhte,
din hote hi mit jaate hain,
acha tha sapne na hote,
koi kisi ke apne na hote,
yeh mera hai, yeh uska hai,
yeh apna hai, woh kiska hai,
ichhahon ka khwab nahi hai,
seemaon ka annt nahi hai,
kab tak sapne bunte rahege,
aana hoga issi dhara par,
rehna hoga issi dhara par,
koi kisi ke apne na hote,
yeh mera hai, yeh uska hai,
yeh apna hai, woh kiska hai,
ichhahon ka khwab nahi hai,
seemaon ka annt nahi hai,
kab tak sapne bunte rahege,
aana hoga issi dhara par,
rehna hoga issi dhara par,
jo parishram ko aadhar karega,
woh sapne sakaar karega,
duniya uski, sapne uske,
jo inko sweekaar karega.
jo inko sweekaar karega.
No comments:
Post a Comment