phir wahi andhri raatein aur anthin intezaar

phir wahi maange hue lamhe, phir wahi anthin intezaar,
phir wahi kaali raaton mein khayaal-e-humraaz,

phir wahi taaron ki peshaani pe rang-e-laazavaal,
phir wahi bhooli huyi baaton ka dhundala sa khayaal,

phir wahi aankhein bheegi-bheegi aur dil udaas,
phir wahi ummeedon ka mela, zindagi ke aas-paas,

phir wahi future ki baatein, phir bethe dino ke khayaal,
phir wahi jaagi aankhein, phir wahi adhure khawab,

phir wahi veeran-e-tanhaai, affsaanon ka khel,
phir wahi shahar-e-tamannaa, phir wahi andheri raah,
zindagi ki bebasi, uff waqt ke uljhe jaal,

dard bhi chhinane laga, ummeed bhi chhinane lagi,
mujh se meri aarazu-e-dil bhi chhinane lagi,

phir wahi kaali maazi, phir wahi bekaif haal,
phir wahi bekarar lamhein, phir wahi anthin intezaar. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts