iss baat ka yakeen ab bhi hai

woh raatein mousam sarm ki,
woh baatein mousam garm ki,
woh tere sath hi sab kuch tha,
woh lamha bhi ab beet gaya.

woh dar-dar ke jab milte the,
woh mil-mil ke jab darte the,
woh milne ki kasme kha-kha kar,
hum jeete the, hum marte the.

ab yaad dilaye koi humhein,
yeh saal bhi aakhir beet gaya,
woh saard hawayien ab bhi hai,
rangeen fazayien ab bhi hai.

woh bheege-bheege paani ki,
pur shor sadayien ab bhi hai,
hum ab bhi udhar jaate hain,
aur apna dil sulgathe hain.

jab tum nahi hote sath mere,
hote hai khaali hath mere,
par shor sadayien pochti hain,
woh sardh hawayein pochti hain.

woh kahan gaya saathi tera,
kya phir yeh zamana beeth gaya,
hum milege ek din phir kahin,
iss baat ka yakeen ab bhi hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts