maa tujhse yeh duniya meri

mere wazood ki kahani woh, mere ser pe jiska saya hai,
maa tujhse yeh duniya meri, tujhse hi jeewan paya hai.

har ehsaas tujhse hi jana maine iss jahan mein aake,
hai karzdaar uska yeh beta, dhood jo tune pilaaya hai.

pehla lafz tu bani mere jeewan ka khuda ke karam se,
pakad mere hathon ko mujhe sambhalna shikaya hai.

mere ek chink pe tardapna tera, kitni raat tu soyi nahi,
khud ko jala dopehar bhar, har dhoop se bachaya hai.


hoon aaj main apne kadmon pe, jahan ko paar kar ke,
hoon par tere kadmon mein, jisse har seekh ko paya hai.


teri mamta ka pyasa hoon, luta de mujhpe pyar aapna,
poojta hoon tujhe aise ki bhagwan ki jagah biithaya hai.

hai dua upar wale se gar woh iss jahan mein kahin hai,
rakhe sada khush usse, jisne mujhe duniya mein laya hai.

mere wazood ki kahani, woh mere ser pe jiska saya hai,

maa tujhse yeh duniya meri, tujhse hi jeewan paya hai. 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts